Tuesday, November 30, 2010

SHAHID BALTISTANI : 2006


SHAHID BALTISTANI : 2006



Qaza audio file
Qaza video file
QazaAy jaan-e-man ya hussain, ay deen-e-man ya hussain (ishk-e-tora zindagi, man sagi tu ya hussain) x2
Ay waqt-e-ajal rukhja, dede mujhe kuch lamhe
Ashko(n) se wuzu karke (ik baar ye kehne de) x2
(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  1. Eik awaaz suni bad-e-azan waqt-e-jannam
  2. ye wohi naam tha jis naam ka ab hai matam (Baap ne deke azaa(n)) x2 Kan mei di ye sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  3. Bolna bhi nahi sikha tha magar seekh liya
  4. Azmat-e-farsh-e-aza matam-e-shabbir hai kya (Haath sina pe gaya) x2 Ayi jis waqt sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  5. Jab zara hosh sambhala to ye taleem mili
  6. Bolo beta ke ali to hai imam-e-azali (Panjetan paanch kaho) x2 Phir kaho aaka mera (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  7. Maut barhak hai to isse mujhe inkaar nahi
  8. Juz gham-e-sibt-e-nabi kuch mujhe darkaar nahi (Hai agar waqt-e-qaza) x2 Mujhko kehne de zara (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  9. Maut kehne lagi ajaawu(n) to kab talti hu
  10. Tere saaye ki tarha saath raha karti hu(n) (Maut se mene kahaa(n)) x2 Ayi kehti huwi ya (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  11. Ambhiya chore na chore hai farishte mene
  12. Ruh se jism ke rad kardiye rishte mene (Us pe kuch bas na chala) x2 Jis ne ik baar kahaa(n) (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  13. Maat khayi hai sar-e-karbobala rab ki qasam
  14. Dekha ansar-e-hussaini ko to larze the qadam (Unse jis waqt mili) x2 Mujhko bhi kehna para (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  15. Haye jis waqt chala sibt-e-nabi par khanjar
  16. Mene chaaha ke mei marjaawu(n) wahi par ghirkar (par ye tha hukm-e-khuda) x2 Chaahiye mujhko mera (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  17. Ruh-e-shabbir ko rote huwe jab kabz kiya
  18. Tha meri pusht pe mawjood wohi ik saaya (Mene ki uspe nazar) x2 thi ye zahra ki sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  19. Mawt "Rehan" muhibbo(n) ko kaha ati hai
Wo to khud mata shaheeda(n) ki khabar lati hai
(Kabr mei jaake bhi ham) x2 Kya kahe iske siwa
(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4



Wird-e-Ali
(Ay mere maula) x3 (Ali maula haider maula haider) x3
Ay matti-e-adam ke maliq mere maula
Ay dast-e-khuda chehra-e-khaliq mere maula
Allah ki marzi se tu hi to bana hai
Kul arz-o-samawat ka raziq mere maula
(Ali maula haider maula haider) x3
  1. Tu ilm hai tu hi aag hi hai
  2. Tu ishq hai tu hi roshni hai (Ali maula haider maula haider) x3
  3. Ay noor-e-kamil akar mita de
Qismat mei meri jo teergi hai
(Ali maula haider maula haider) x3
(Bedam yahi wo paanch hai maqsood-e-qaayinaat) x2
Khayrun-nisa, hassan-o-hussain, mustafa
Mustafa murtaza (fatema mujtaba) x2
Ya (ya hussain) x6
(Ay mere maula) x2



Ghayrat ka khuda
(Ay alamdare hussain wa-abbasa) x2
Wa-abbasa, abbasa
Khayme ka parda hai utha, wa-abbasa
Kon chala suwe dariya, abbasa
Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  1. Aane ko hai qayamat, mehsoos ho raha hai
  2. Wo ghar se yu(n) chala hai, dharti pe zalzala hai, Aada ka har sipahi ye kehke bhagta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  3. Chehra ali ka chehra, khushbu ali ki khushbu,
  4. Sina ali ka sina, bazu ali ke bazu Jis rukh se dekhte hai, tasveer-e-murtuza hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  5. Haa isne bachpane me, maa se sabak ye sikha,
  6. Shabbir ki ghulami, sab se bara hai rutba, Ye sher is sabak ko dohraye jaa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  7. Haider he isme azam, har dard ki dawa hai
  8. Quran kehraha hai, ye naam ik dua hai Ghazi hai naam jiska haider ki wo dua hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa, Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  9. Izne vhigha nahi hai, hasrat hai bas vhigha ki
  10. Talwar sheh ne rakhli, qismat hai ashkiya ki Mashkiza bazuwo(n) ke badle bacha raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  11. Tashna labi ka alam, mojo pe gara parcham,
  12. Kabze me leke paani, lab ko nahi kiya nam Dariya se pyaas bharke, wapas jo aaraha hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  13. Duba huwa lahu me, parcham jo aa raha hai,
  14. Pyaaso(n) ka farte gham se, dil ddubne laga hai Boli sakina tthero, paani wo laa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  15. Bazu to katt chuke hai, mashkiza chid gaya hai
  16. Kya ghar ko jaye ghazi, ghayrat ka marhala hai, Haye tashnalab ka chehra nazro me ghumta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  17. "Rehan" gham se ttuti, shabbir ki kamar hai,
Abbase bawafa ka, duniya se ab safar hai,
Lekin lahu se apne, wo likh ke jaa raha hai
Ghazi hai bawafa hai, abbasa, abbasa




Turbat
Inna lillahi wa inna ilayhi raaje’oon
(Sakina guzar gayi) x3
(Ab tak nahi soyi hu) x2 sulaane chale aawo
(Turbat pe diya baba jalaane chale aawo) x2
  1. Baba mujhe mati ka makaa(n) aisa mila hai
  2. Andhera jahaa(n) tera pata puch raha hai Baba meri tanhaayi, mitane chale aawo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  3. Asghar ki tarha mujhko sulaane nahi aaye
  4. Baba mera lasha bhi uthane nahi aye Choti si Sakina ko manane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  5. Kya aap koi basti basaane gaye baba
  6. Sughra se kiya wada, nibhaane gaye baba Itna to Sakina ko bataane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  7. Dadi ki tarha mei bhi tere saath chali hu(n)
  8. Baba mei tere sabr ke saaye mei pali hu(n) Ansu jo chupaate ho, dikhaane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  9. Jo teri ghareebi ka akela tha sahara
  10. Pani ke liye mene usse kho diya baba Ye daagh kaleje ka mitane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  11. Kuch aise jhuka bhaayi ke phir uthna saka hai
  12. Baqir ka gala haaye qamar se jo bandha hai Beemar se milne ke bahane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  13. Acha mujhe sine pe sulana nahi baba
  14. Kehti hu jo amma ko batana nahi baba Ehsaas yateemi ka mitane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  15. "Arman" ye turbat se Sakina ki sada hai
Ay baba mujhe tumne bohot pyaar kiya hai
Ab phoolo(n) ki chadar hi, charhaane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
(Aajaiye baba) x2



Abu ar-reza
(Yabna jaffar, abur-raza) x2 (Abur-raza) x2
(Ya musa-e-kazim) x2
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda
(Ya musa-e-kazim) x4
  1. Tere baba imam-e-sadiq hai
  2. Jiske dam se hai Jafferi sare Deen-o-mazhab, sabak ibadat hai Ham ko saye usi ke dar se mile Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  3. Hai qaramat-e-murtaza tujhme
  4. Saa’ilo(n) ke bhi ye ata tujhme Rad jo hoti nahi kisi surat Saans leti hai wo dua tujhme Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  5. Tum bhi hajat rawa-e-alam ho
  6. Haideriyyat ka azm-e-mauqam ho Tum dua-e-janab-e-zahra se Pursadar-e-janab-e-adam ho Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  7. Bas junoon-o-jabal jilawatni
  8. Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi Kitne dana the tere diwane Umr bhar teri nokri karli Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2 Almadad (maula raza) x3
  9. Tera beta imam-e-zamin hai
  10. Jiske qabze mei raat hai din hai Wo khurasaan ka hai shehzada Har shifa uske dar pe mumkin hai Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  11. Teri dukhtar hai qum ki shehzaadi
  12. Uski chowkat pe de sada jo bhi Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai Ghamse milti hai usko aazaadi Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  13. Tere taboot ki wo tanhaayi
  14. Na tha beta ghareeb na bhaayi Chand mazboor aye ujrat par Lash raste se teri uthwaayi Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  15. Hai najaf dushmano(n) ke narghe mei
  16. Karbala samara ke raste mei Bekafan momino(n) ke laashe hai Kufr dakhil huwa madine mei Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  17. Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai
  18. Tera sikka jahaa(n) waa’ij hai Ham to har imtihaa(n) se guzrenge Dene wala tuhi nata’ij hai Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  19. Tu bhi "Rehan" istighasa kar
Kehke ya Musa ya bin-e-jafar
Nauha goyi karu qayamat tak
Aur ghulaami karu dar-e-shah par
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
(Yabn-e-jaffar abur-raza) x2 Abur-raza



Ay mere bhaayi hussain
Suno suno, shab-e-ashoor ka ye manzar hai, haay haay haay
Sirhaane bhaayi ke bethi, ali ki dukhtar hai, haay haay haay
Wo kehrahi hai mera sabr, azmaaoge
(Ay mere bhaayi hussain) x3
Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  1. (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge
  2. (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  3. Meri nigaah mei bachpan ki sari yaade hai
  4. Kahi thi nana ne jo yaad wo bhi baate hai Sahar se pehle charagho(n) ko tum bujhaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  5. Nabi sawari tumhari sawaar tum bhaayi
  6. The amma zahra ke dil ka karaar tum bhaayi Aur aaj khoon mei apne hi, tum nahaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  7. Tumhare chehre ka ye itminaan jaanti hu
  8. Tumhara hona hai jo imtihaan jaanti hu Bahan se dard-e-jigar ko chupa na paaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  9. Guloo-e-asghar-e-besheer sina-e-akbar
  10. Sata raha hai tumhe sabr kar rahe ho magar Rida ke baat pe nazre mila na paaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  11. Abhi to bali Sakina ka zikr baqi hai
  12. Abhi to sham-e-ghariban ki fikr baqi hai Rakhonge yaad kisse kisko bhool jaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  13. Na gham karo mere bhaayi tumhare baad bahan
  14. Rida na orhenge jab tak tumhe mile na kafan Ye dukh hai saath hamare watan na jaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  15. Kahaa(n) Hussain ne sunkar, kalaam Zainab ka
  16. Hamari jaan ke badle bache tera parda Ye kya kahaa(n) ke mera sabr azmaaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  17. Tere baghayr muqammal nahi payaam mera
  18. Tere baghayr adhura hai ab to naam mera Kaho(n) mei aawungi majlis mei jab bulaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  19. Ye guftugu thi ke gunji azaan-e-akbar ki
  20. "Rehan" hoti thi yalgaar sheh pe lashkar ki Ali ki beti pukaari hame rulaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  21. (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge
(Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge



Ali akbar-e-man
Kaha(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-maa
Pura kardo na ye armaan ali akbar-e-maa
Lot awo na watan
(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  1. Jabse tum ghar se gaye lutf-e-azaan jaata raha
  2. Lot aane ka jo wada tha wo rulwaata raha Chand lamho(n) ki hu mehmaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  3. Aisi tanhaayi ke tanhaayi ko dar lagta hai
  4. Aisi manzar hai ke binaayi ko dar lagta hai Ghar mujhe lagta hai zindaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  5. Tere hote huwe abaad the raste sare
  6. Teergi mei bhi the angan mei chamakte tare Zindagi hogayi veeraan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  7. Tu nahi ata to ik khaat hi rawana karde
  8. Mere jeene ka yahi eik bahana karde Itna kehna to mera maan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  9. Ab na baba se shikayat hai na amma se gila
  10. Mei to beemar hu beemar se rishta kaisa Gham ye hai phool phuphi jaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  11. Meri ankho(n) mei tumhe ashk gawara hi na the
  12. Tere bin kaatu(n) ye beemar ke lamhe kaise Mawt hai samne har aan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  13. Qabr-e-zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahi
  14. Ab diya ghar mei jalaane ki bhi taakat na rahi Natawano(n) ka hai tufan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  15. Koyi chota bhi hawa ka jo idhar aata hai
  16. Mujhse pehle mera dil jaanib-e-dar jaata hai Bas hai ahat pe lagi kaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  17. Kya kabhi socha bahan dard se roti hongi
  18. Lot ke aawo to wo qabr me soti hongi Hai bohot iska bhi imkaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  19. Ya to pardes se sughra ka kafan ley aawo
  20. Ya mere jeete huwe apni dulhan ley aawo Rakho itna to mera maan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  21. Kya koi apna watan chor ke yu(n) jaata hai
  22. Shaam ko ghar me parinda bhi chala aata hai Ay meri ghar ki nigehbaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  23. Ghash ke aalam me bhi "Rehan" tha Sughra ka bayaa(n)
Kya gham-e-marg se ghaane na parhonge qur’an
Ay meri bolte qur’aan
Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan
(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2



Baba jaan
Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,
Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  1. majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan
  2. (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  3. me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
  4. mere lehje me hai, baba teri ada naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  5. babajaan me rida mangti rehgayi,
  6. bamo dar saj gaye, jiteji margayi, halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  7. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
  8. aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  9. shaam ashur se, shamo kufa talak,
  10. mene manga nahi hai kharaje fadak, meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  11. babajaan ye tera akhri tha bayan,
  12. teri chadar bachayega ghazi jawaa(n), margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n) (Abbas) x9
  13. ruk na paya mere bawafa ka wo sar,
  14. noke neza se aane laga khaak par, behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  15. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
  16. aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  17. kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,
  18. misle zahra khari hu(n) me aghyar me, us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  19. Aysa khutba diya mene darbar me,
Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



Darvaish / nokri shabbir ki
(Haya ala khayral amal) x2
(Ya hussain) x6
(Nokri shabbir ki) x2
  1. (Mere khu(n) ki taharat kehti) x2
  2. Mujhe har shahi se achhi hai (nokri shabbir ki) x2
  3. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2
  4. ye hur jayso(n) ko milti hai (nokri shabbir ki) x4
  5. Ye mansab jisko miljaye, zehra ki duaye(n) pata hai
  6. wo khaak zarra hokar bhi, khud khake shafa banjata hai (ye nemat to hum jeso(n) ki) x2 taqdir banaye rakhti hai (nokri shabbir ki) x4
  7. Ye farshe aza tabuto alam, ye nawhe majlis aur matam
  8. Pani ke sabile(n) aur langar, masum ali asgher ki qasam, (hum ehle aza ki mazhub me) x2 kehlati thi kehlati hai (nokri shabbir ki) x4
  9. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  10. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai, (darwazaye zehra par inki) x2 ta roze qayamat paki hai (nokri shabbir ki) x4
  11. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  12. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai, (is izat ko khud binte ali) x2 qura(n) ki zuba(n) me kehti hai (nokri shabbir ki) x4
  13. Majlis me siyasat mat karna, maula se baqawat mat karna,
  14. Is farshe aza par ake talak, is zikr ki kimat mat karna, (bemaas jo matam karte hai) x2 bus unko shafa at deti hai (nokri shabbir ki) x4
  15. wo sajadaye akhir jalti zamin, jis sajde ka sani hi nahi,
  16. khanjar ke tale jis jam rakhi, shabbir ne haye zakhme jabi(n), (jibril ne akar di ye sada) x2 manzur khuda ne karli hai (nokri shabbir ki) x4
  17. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  18. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai, (darwazaye zehra par inki) x2 ta roze qayamat paki hai (nokri shabbir ki) x4
  19. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  20. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai, (is izat ko khud binte ali) x2 qura(n) ki zuba(n) me kehti hai (nokri shabbir ki) x4
  21. "rehan" kalam bhi nokar hai, kaghaz bhi ghulame sarwar hai,
  22. darvesh se badhar lafz me aa, likhta jo azaa ka manzar hai, (kehti hai meri noha goyi) x2 taqdir me teri likhdi hai (nokri shabbir ki) x4
  23. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2
ye hur jayso(n) ko milti hai
(Haya ala khayral amal) x2

1 comment:

  1. Sontaran Ganpati Bappa T-shirt by Durga - Baojititanium
    Sontaran 광양 출장마사지 Ganpati 화성 출장안마 Bappa T-shirt by Durga, 구미 출장안마 designed by titanium wire Durga, made 보령 출장마사지 by Durga.

    ReplyDelete