Tuesday, April 12, 2011

Tuesday, November 30, 2010

SHAHID BALTISTANI : 2010

faryad e darvaish

SHAHID BALTISTANI : 2009

Wird e Darvaish

SHAHID BALTISTANI : 2008

lyrics will be available soon....

SHAHID BALTISTANI : 2007


SHAHID BALTISTANI : 2007


Qasim di mehendhi audio file
Qasim di mehendhi(qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi) x2
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  1. (Zainab ki hasrat, khuwahish hasan ki) x2
    arman sugra Qasim di mehndi
  2. (bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  3. (pani nahin tha khoon main ghuli hai, joo bu hai khoon ki khusboo wahi hai) x2
    pamal hokar ran main sumo se, parhti hai noha qasim di mehndi
  4. (bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  5. (bazoo juda hai, tukre badan hai, matam ka jora pehne dulhan hai) x2
    dulha ki maan ko, ujri dulhan ko, deti hai pursa qasim di mehndi
  6. (bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  7. (Arsh-o-zameen par pehle na dekhi na aesi mehndi na aesi shaadi) x2
    sab so chuke hai ran main barati roti hai tanha qasim di mehndi
  8. bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi
  9. (tukre badan kai, ibn-e-hasn kai daman main chun kar shabir laaye) x2
    madar yeh samjhi kheme kai dar par, laaye hain mola qasim di mehndi
  10. (bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  11. (shadi kai ghar main matam hai barpa roti hai farwa roti hai kubra) x2
    karbo bala main kis kis ko degi tanha dilasa qasim di mehndi
  12. (bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  13. (pani nahin tha khoon main ghuli hai, joo bu hai khoon ki khusboo wahi hai) x2
    pamal hokar ran main sumo se, parhti hai noha qasim di mehndi
  14. (bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  15. (bazoo juda hai, tukre badan hai, matam ka jora pehne dulhan hai) x2
    dulha ki maan ko, ujri dulhan ko, deti hai pursa qasim di mehndi
  16. (bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
  17. ("Rehan" kehdo har matami sai shadi ho ghar main jab bhi kisi kai) x2
    qasim ki pehle majlis bapa ho, bhule na dhula qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi




Zainab bint-e-Ali
(Akilatul laarhaa) x8
Ay munkaro nakir sunlo meri sada tum ko nahi pataa zainab ka hu(n) fakir
Yeh Kabr nahi hai(n) uskaa hai aza khana jo bint-e-Murtaza hai Shabbir ki hamshir
(Zainab binte Ali) x8
  1. Ay nakirayn sawaalo ki na bharwar karo,
  2. Farshe majlis hai yaha(n) awo adab se betho Sheh ki majlis ho bapa hukm dete hai yahi (Zainab binte Ali) x8
  3. Tum bhi aate the dar-e-binte Ali pe aksar
  4. Sajda-e-shukr kiya maine bhi us chowkhat par Jab bhi sajde me jabee(n) mein bhi kehta tha yahi (Zainab binte Ali) x8
  5. Kon hai maula mera tum ko batata hu abhi
  6. Aawo betho tumhe talkeen sunata hu abhi Kya tumhe yaad nahi hai madadghar meri (Zainab binte Ali) x8
  7. Daagh-e-matam jo hai tehrir mere sine par
  8. Saath aaya hai mere tera hawala bankar Ham kafan par bhi mere ye ibadat hai likhi (Zainab binte Ali) x8
  9. Tum ko batalatu hu me ashk azaa ki qimat
  10. Ek aansoo ki barabar nahi baagh-e-jannat Rone waalo ke liye parti hai nade ali (Zainab binte Ali) x8
  11. Sunke ye baat nakirayn ne khaalik se kahaa
  12. Ai khuda banda-e-zainab hai ye banda tera Kya sawaal isse kare iske lab par hai abhi (Zainab binte Ali) x8
  13. Hum sawaalat ke khatir to nahi aate hai
  14. Khayriyat puch ke momin ki chale jate hai Khuch nahi keh te use jiske zamin ho bani (Zainab binte Ali) x8
  15. Phir nakirayn ne aapas me ye tey kar ke kaha
  16. Chor do sare sawaalaat sunawo nawha Per musalsal ye sadaa kabr se aati rahi (Zainab binte Ali) x8
  17. Ay nakirayn wo Abbas-e-Ali ki Khwahar
  18. Majma-e-ahle sitam mei ye pukari ro ker me wohi bibi hu(n) Jisko kehte hai nabi (Zainab binte Ali) x8
  19. Baad "Darvaish" ne "Rehan" ye saabit ker di
Kabr me unse sawaalat nakirayn kabhi
aake Karde gi nahi jise bhi ho razi
(Zainab binte Ali) x8



Fikr-e-Iqbal
(Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
  1. Musalmano kaa Qibla Rozaa-e-Shabbir ho jaye
  2. (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2 Gham-e-Shabbir ko chashme muhammad se agar dekhe kabhibhi bhi majiliso mataam ko tu bid'at nahi samje Tere maslak me fayiz matam-e-shabbir ho jaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2 shab-e-majlis shahoor aya yaha ansoo bahane kaa tumharaa dil bhi chaahenga azakhane me jane ka Tumhare samne firdos jageer ho jaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
  3. Tuje Quran me tathir ki ayat nahi milti sabab
  4. ye hai ke matam daar se fitrat nahi milti Nisha(n) matam ka sine per abhi tehrir hojaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
  5. Janab-e-Hazrat-e-Shabbir ki jo maa hai ye logo
  6. Muhammad ne use khud maa kahaa ek madar socho to Roza Fatema Zehra abhi tameer ho jaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
  7. Nishan-e-Matam-e-Shabbir hai sadiyo(n) ko sine par
bataaya hazarat "Iqbal" har "rehan" naini par
woh abh khamosh har tehrir ho takrir ho jaye
(Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2



Sham-e-Gharibaa(n)
Kayamat ke manzar sare kabalaa hai na salaar hai aur na lasker bachaa hai Kayamat ke manzar
Khudda yaa kise per na rota hai aisi
ye kehte hai suraj gurur ho gayaa hai
Kayamat ke manzar
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n), saadat hai pardes hai
Kya waqt hai Ghazi nahi Zainab hai Nigheban
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2 saadat hai pardes hai
  1. Ai raat andhero ko zara aur barhaa de
  2. Maqtal ki hawaa jhalte Charagho(n) ko bujaa de Dekhe naa Alamdaar behen ko sar-e-uriyaan (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2 saadat hai pardes hai
  3. Bibi koyi jhule ki jali raakh utha ker
  4. kehti hai agar tu nahi aayaa Ali asgar khud run me chali aaengi besheer teri maa (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
  5. Tu bhi naa rahaa jee ke karoo(n) kiyaa mere bache
  6. khud apnne hi hatho(n) se meri kabr bana de lailaa pe ye hoga Ali Akber tera ashsaan (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
  7. Daryaa ke taraf aah hai alamdaar kaa laashaa
  8. maqtal me ajab haal se ati hai sakina Khaimo kaa dhuwa(n) aankh me jhal taa huwaa daman (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
  9. kehte hai ye jhalte huwe khaymo(n) mei musalle
  10. sajaad tahajud to zara chain se perhle Afsoos ye mohlat bhi nahi dete musalman (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
  11. Woh waqt "taqallum" thaa ajab bint-e-ali per
Kehne lage maula jo nikaab apni uthaa ker
me baap hu Zainab muje pehchaan meri jaan
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2



Sakina jaag jayengi
(Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari) x2
Majawo shor na logo sakina Jaag Jayengi
(Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  1. Kabhi Bachi ko takta hai kabhi aansoo(n) bahata hai
  2. Dar-e-Zindan se behta musafir sabse kehtaa hai zaraa aaram se guzro sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  3. Kisi bhi Zulm ke jo aah ki khatir wo lab khulte
  4. Tarap ker Abid-e-bimar ye kehta thaa hoto se agar ye aah nikli to sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  5. Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga
  6. adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  7. Abhi Zindan me hojayi ga kohraam ye barpa
  8. who aahat simt ke samjegi ke shayed aa gaye baba Dar-e-Zindan naa kholo sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  9. Ye wadaa hai meraa pani nahi mangooga me tum se
  10. wo jab uthtjaya to jee bhar ke beshak maar na dure abhi bekas ko na maro sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  11. Abhi azad ho tum qayd ke matlab ko kiya jano
  12. parindo chordo zindan meri iltejaa maango chale jawoo naa yu chehko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  13. Sar-e-Zinda sakina ko kazaa ki neend kiyaa aayi
  14. kisi se kuch nahi kehtaa hai itna mazloom thaa bhayi ke ab ye der nahi usko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  15. Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga
  16. adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
  17. Saf-e-matam se abid ka ye "Akbar" bayn aata hai
Isse bas waaste purse meri ab cheyn aata hai
Sada matam ki na roko, Sakina jaag jayengi
(Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
(Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari) x2



Be khata mara gaya
(Ya Hassan) x6
(Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba) x3
  1. Sehr se nikle jigar, khu(n) se kafan laal huwa
  2. Wa Hassan-e-sabz-e-qaba (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
  3. Oogal te huwe bhayi ko behan ne dekha (or tarap ker ye kaha) x2 Teri gurbat pe bhayi teri Zainab ho fidaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
  4. (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
  5. Maa ke dukh se abhi azad kaha(n) thi zainab (hogaya kaisa gazab) x2 Baap zinda na raha Bhayi suwe khuld gaya wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
  6. (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
  7. Ker diya Zahr-e-hala hal ne Jigar ke tukre (Aur Qasim ke liye) x2 Kamsini me hai ye gham Sham-e-gharibi jaisa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
  8. (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
  9. Aise ik baar janaza jo nikal jata hai (jab wo phir aata hain) x2 Aisa taboot hai ye lot ke jo ghar ayaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
  10. (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
  11. Sheh ne us wakht jo Ghazi ko na roka hoga (hashr ho jata bapaa) x2 teer aate na janaze pe tumhare Maula wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
  12. (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
  13. Sheh ko "Rehan" baraadar kaa jigar yaad aya (jab se karbobala) x2 Tukde Qassim ke utha te huwe maula ne kaha wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
(Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2




Mere ghazi kahaan ho
(mere ghazi kahaan ho) x2
(Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho) x2
  1. ay mere bawafa, hai bahan berida, mere ghazi kahaan ho
  2. Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  3. Tujhko dekhe bina, chayn ata nahi
  4. Noke neza pe sar tera milta nahi Me ziyarat karun, kistarha ye bataa, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  5. Laaj rakhlo bahan ki baradar mere
  6. Khaak maqtal mere sar ka parda bane, Hukm dedo zara, muntazir hai hawa, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  7. Tere bazu mujhe raste me mile,
  8. Mene chadar samaj kar wo sar par rakhe Bazuwo se tera, puchhti hu pata, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  9. Dekh kar behn ko dasht me nange sar,
  10. Kya haya agayi, chhup gaye ho kidhar, Khud chali awungi, tum bataado zara, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  11. Mene bachpan me lori sunayi tujhe,
  12. Mene chalna sikhaya tha bhayi tujhe Raah pur khaar par, mujhko chalna sikha, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  13. Wo teri laadli wo sakina teri
  14. Chalte naaqe se jab khaak par ghir gayi Dekhti rehgayi, wo suwe alqama, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  15. Jo bane murtaza me wo ehsas hu(n),
  16. Berida bibiyon ki me Abbas hu(n) Tum meri aas the, ay mere bawafa, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
  17. Waris-e-ambhiya ki me hamsheer hu(n),
ehle haider hu(n) qura(n) ki tafseer hu(n),
koi "Yawar" nahi, kisko du me sadaa, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho



SHAHID BALTISTANI : 2006


SHAHID BALTISTANI : 2006



Qaza audio file
Qaza video file
QazaAy jaan-e-man ya hussain, ay deen-e-man ya hussain (ishk-e-tora zindagi, man sagi tu ya hussain) x2
Ay waqt-e-ajal rukhja, dede mujhe kuch lamhe
Ashko(n) se wuzu karke (ik baar ye kehne de) x2
(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  1. Eik awaaz suni bad-e-azan waqt-e-jannam
  2. ye wohi naam tha jis naam ka ab hai matam (Baap ne deke azaa(n)) x2 Kan mei di ye sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  3. Bolna bhi nahi sikha tha magar seekh liya
  4. Azmat-e-farsh-e-aza matam-e-shabbir hai kya (Haath sina pe gaya) x2 Ayi jis waqt sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  5. Jab zara hosh sambhala to ye taleem mili
  6. Bolo beta ke ali to hai imam-e-azali (Panjetan paanch kaho) x2 Phir kaho aaka mera (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  7. Maut barhak hai to isse mujhe inkaar nahi
  8. Juz gham-e-sibt-e-nabi kuch mujhe darkaar nahi (Hai agar waqt-e-qaza) x2 Mujhko kehne de zara (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  9. Maut kehne lagi ajaawu(n) to kab talti hu
  10. Tere saaye ki tarha saath raha karti hu(n) (Maut se mene kahaa(n)) x2 Ayi kehti huwi ya (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  11. Ambhiya chore na chore hai farishte mene
  12. Ruh se jism ke rad kardiye rishte mene (Us pe kuch bas na chala) x2 Jis ne ik baar kahaa(n) (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  13. Maat khayi hai sar-e-karbobala rab ki qasam
  14. Dekha ansar-e-hussaini ko to larze the qadam (Unse jis waqt mili) x2 Mujhko bhi kehna para (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  15. Haye jis waqt chala sibt-e-nabi par khanjar
  16. Mene chaaha ke mei marjaawu(n) wahi par ghirkar (par ye tha hukm-e-khuda) x2 Chaahiye mujhko mera (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  17. Ruh-e-shabbir ko rote huwe jab kabz kiya
  18. Tha meri pusht pe mawjood wohi ik saaya (Mene ki uspe nazar) x2 thi ye zahra ki sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
  19. Mawt "Rehan" muhibbo(n) ko kaha ati hai
Wo to khud mata shaheeda(n) ki khabar lati hai
(Kabr mei jaake bhi ham) x2 Kya kahe iske siwa
(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4



Wird-e-Ali
(Ay mere maula) x3 (Ali maula haider maula haider) x3
Ay matti-e-adam ke maliq mere maula
Ay dast-e-khuda chehra-e-khaliq mere maula
Allah ki marzi se tu hi to bana hai
Kul arz-o-samawat ka raziq mere maula
(Ali maula haider maula haider) x3
  1. Tu ilm hai tu hi aag hi hai
  2. Tu ishq hai tu hi roshni hai (Ali maula haider maula haider) x3
  3. Ay noor-e-kamil akar mita de
Qismat mei meri jo teergi hai
(Ali maula haider maula haider) x3
(Bedam yahi wo paanch hai maqsood-e-qaayinaat) x2
Khayrun-nisa, hassan-o-hussain, mustafa
Mustafa murtaza (fatema mujtaba) x2
Ya (ya hussain) x6
(Ay mere maula) x2



Ghayrat ka khuda
(Ay alamdare hussain wa-abbasa) x2
Wa-abbasa, abbasa
Khayme ka parda hai utha, wa-abbasa
Kon chala suwe dariya, abbasa
Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  1. Aane ko hai qayamat, mehsoos ho raha hai
  2. Wo ghar se yu(n) chala hai, dharti pe zalzala hai, Aada ka har sipahi ye kehke bhagta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  3. Chehra ali ka chehra, khushbu ali ki khushbu,
  4. Sina ali ka sina, bazu ali ke bazu Jis rukh se dekhte hai, tasveer-e-murtuza hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  5. Haa isne bachpane me, maa se sabak ye sikha,
  6. Shabbir ki ghulami, sab se bara hai rutba, Ye sher is sabak ko dohraye jaa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  7. Haider he isme azam, har dard ki dawa hai
  8. Quran kehraha hai, ye naam ik dua hai Ghazi hai naam jiska haider ki wo dua hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa, Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  9. Izne vhigha nahi hai, hasrat hai bas vhigha ki
  10. Talwar sheh ne rakhli, qismat hai ashkiya ki Mashkiza bazuwo(n) ke badle bacha raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  11. Tashna labi ka alam, mojo pe gara parcham,
  12. Kabze me leke paani, lab ko nahi kiya nam Dariya se pyaas bharke, wapas jo aaraha hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  13. Duba huwa lahu me, parcham jo aa raha hai,
  14. Pyaaso(n) ka farte gham se, dil ddubne laga hai Boli sakina tthero, paani wo laa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  15. Bazu to katt chuke hai, mashkiza chid gaya hai
  16. Kya ghar ko jaye ghazi, ghayrat ka marhala hai, Haye tashnalab ka chehra nazro me ghumta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
  17. "Rehan" gham se ttuti, shabbir ki kamar hai,
Abbase bawafa ka, duniya se ab safar hai,
Lekin lahu se apne, wo likh ke jaa raha hai
Ghazi hai bawafa hai, abbasa, abbasa




Turbat
Inna lillahi wa inna ilayhi raaje’oon
(Sakina guzar gayi) x3
(Ab tak nahi soyi hu) x2 sulaane chale aawo
(Turbat pe diya baba jalaane chale aawo) x2
  1. Baba mujhe mati ka makaa(n) aisa mila hai
  2. Andhera jahaa(n) tera pata puch raha hai Baba meri tanhaayi, mitane chale aawo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  3. Asghar ki tarha mujhko sulaane nahi aaye
  4. Baba mera lasha bhi uthane nahi aye Choti si Sakina ko manane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  5. Kya aap koi basti basaane gaye baba
  6. Sughra se kiya wada, nibhaane gaye baba Itna to Sakina ko bataane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  7. Dadi ki tarha mei bhi tere saath chali hu(n)
  8. Baba mei tere sabr ke saaye mei pali hu(n) Ansu jo chupaate ho, dikhaane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  9. Jo teri ghareebi ka akela tha sahara
  10. Pani ke liye mene usse kho diya baba Ye daagh kaleje ka mitane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  11. Kuch aise jhuka bhaayi ke phir uthna saka hai
  12. Baqir ka gala haaye qamar se jo bandha hai Beemar se milne ke bahane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  13. Acha mujhe sine pe sulana nahi baba
  14. Kehti hu jo amma ko batana nahi baba Ehsaas yateemi ka mitane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
  15. "Arman" ye turbat se Sakina ki sada hai
Ay baba mujhe tumne bohot pyaar kiya hai
Ab phoolo(n) ki chadar hi, charhaane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
(Aajaiye baba) x2



Abu ar-reza
(Yabna jaffar, abur-raza) x2 (Abur-raza) x2
(Ya musa-e-kazim) x2
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda
(Ya musa-e-kazim) x4
  1. Tere baba imam-e-sadiq hai
  2. Jiske dam se hai Jafferi sare Deen-o-mazhab, sabak ibadat hai Ham ko saye usi ke dar se mile Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  3. Hai qaramat-e-murtaza tujhme
  4. Saa’ilo(n) ke bhi ye ata tujhme Rad jo hoti nahi kisi surat Saans leti hai wo dua tujhme Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  5. Tum bhi hajat rawa-e-alam ho
  6. Haideriyyat ka azm-e-mauqam ho Tum dua-e-janab-e-zahra se Pursadar-e-janab-e-adam ho Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  7. Bas junoon-o-jabal jilawatni
  8. Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi Kitne dana the tere diwane Umr bhar teri nokri karli Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2 Almadad (maula raza) x3
  9. Tera beta imam-e-zamin hai
  10. Jiske qabze mei raat hai din hai Wo khurasaan ka hai shehzada Har shifa uske dar pe mumkin hai Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  11. Teri dukhtar hai qum ki shehzaadi
  12. Uski chowkat pe de sada jo bhi Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai Ghamse milti hai usko aazaadi Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  13. Tere taboot ki wo tanhaayi
  14. Na tha beta ghareeb na bhaayi Chand mazboor aye ujrat par Lash raste se teri uthwaayi Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  15. Hai najaf dushmano(n) ke narghe mei
  16. Karbala samara ke raste mei Bekafan momino(n) ke laashe hai Kufr dakhil huwa madine mei Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  17. Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai
  18. Tera sikka jahaa(n) waa’ij hai Ham to har imtihaa(n) se guzrenge Dene wala tuhi nata’ij hai Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
  19. Tu bhi "Rehan" istighasa kar
Kehke ya Musa ya bin-e-jafar
Nauha goyi karu qayamat tak
Aur ghulaami karu dar-e-shah par
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
(Yabn-e-jaffar abur-raza) x2 Abur-raza



Ay mere bhaayi hussain
Suno suno, shab-e-ashoor ka ye manzar hai, haay haay haay
Sirhaane bhaayi ke bethi, ali ki dukhtar hai, haay haay haay
Wo kehrahi hai mera sabr, azmaaoge
(Ay mere bhaayi hussain) x3
Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  1. (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge
  2. (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  3. Meri nigaah mei bachpan ki sari yaade hai
  4. Kahi thi nana ne jo yaad wo bhi baate hai Sahar se pehle charagho(n) ko tum bujhaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  5. Nabi sawari tumhari sawaar tum bhaayi
  6. The amma zahra ke dil ka karaar tum bhaayi Aur aaj khoon mei apne hi, tum nahaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  7. Tumhare chehre ka ye itminaan jaanti hu
  8. Tumhara hona hai jo imtihaan jaanti hu Bahan se dard-e-jigar ko chupa na paaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  9. Guloo-e-asghar-e-besheer sina-e-akbar
  10. Sata raha hai tumhe sabr kar rahe ho magar Rida ke baat pe nazre mila na paaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  11. Abhi to bali Sakina ka zikr baqi hai
  12. Abhi to sham-e-ghariban ki fikr baqi hai Rakhonge yaad kisse kisko bhool jaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  13. Na gham karo mere bhaayi tumhare baad bahan
  14. Rida na orhenge jab tak tumhe mile na kafan Ye dukh hai saath hamare watan na jaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  15. Kahaa(n) Hussain ne sunkar, kalaam Zainab ka
  16. Hamari jaan ke badle bache tera parda Ye kya kahaa(n) ke mera sabr azmaaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  17. Tere baghayr muqammal nahi payaam mera
  18. Tere baghayr adhura hai ab to naam mera Kaho(n) mei aawungi majlis mei jab bulaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  19. Ye guftugu thi ke gunji azaan-e-akbar ki
  20. "Rehan" hoti thi yalgaar sheh pe lashkar ki Ali ki beti pukaari hame rulaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
  21. (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge
(Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge



Ali akbar-e-man
Kaha(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-maa
Pura kardo na ye armaan ali akbar-e-maa
Lot awo na watan
(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  1. Jabse tum ghar se gaye lutf-e-azaan jaata raha
  2. Lot aane ka jo wada tha wo rulwaata raha Chand lamho(n) ki hu mehmaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  3. Aisi tanhaayi ke tanhaayi ko dar lagta hai
  4. Aisi manzar hai ke binaayi ko dar lagta hai Ghar mujhe lagta hai zindaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  5. Tere hote huwe abaad the raste sare
  6. Teergi mei bhi the angan mei chamakte tare Zindagi hogayi veeraan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  7. Tu nahi ata to ik khaat hi rawana karde
  8. Mere jeene ka yahi eik bahana karde Itna kehna to mera maan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  9. Ab na baba se shikayat hai na amma se gila
  10. Mei to beemar hu beemar se rishta kaisa Gham ye hai phool phuphi jaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  11. Meri ankho(n) mei tumhe ashk gawara hi na the
  12. Tere bin kaatu(n) ye beemar ke lamhe kaise Mawt hai samne har aan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  13. Qabr-e-zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahi
  14. Ab diya ghar mei jalaane ki bhi taakat na rahi Natawano(n) ka hai tufan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  15. Koyi chota bhi hawa ka jo idhar aata hai
  16. Mujhse pehle mera dil jaanib-e-dar jaata hai Bas hai ahat pe lagi kaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  17. Kya kabhi socha bahan dard se roti hongi
  18. Lot ke aawo to wo qabr me soti hongi Hai bohot iska bhi imkaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  19. Ya to pardes se sughra ka kafan ley aawo
  20. Ya mere jeete huwe apni dulhan ley aawo Rakho itna to mera maan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  21. Kya koi apna watan chor ke yu(n) jaata hai
  22. Shaam ko ghar me parinda bhi chala aata hai Ay meri ghar ki nigehbaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
  23. Ghash ke aalam me bhi "Rehan" tha Sughra ka bayaa(n)
Kya gham-e-marg se ghaane na parhonge qur’an
Ay meri bolte qur’aan
Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan
(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2



Baba jaan
Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,
Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  1. majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan
  2. (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  3. me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
  4. mere lehje me hai, baba teri ada naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  5. babajaan me rida mangti rehgayi,
  6. bamo dar saj gaye, jiteji margayi, halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  7. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
  8. aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  9. shaam ashur se, shamo kufa talak,
  10. mene manga nahi hai kharaje fadak, meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  11. babajaan ye tera akhri tha bayan,
  12. teri chadar bachayega ghazi jawaa(n), margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n) (Abbas) x9
  13. ruk na paya mere bawafa ka wo sar,
  14. noke neza se aane laga khaak par, behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  15. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
  16. aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  17. kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,
  18. misle zahra khari hu(n) me aghyar me, us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
  19. Aysa khutba diya mene darbar me,
Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



Darvaish / nokri shabbir ki
(Haya ala khayral amal) x2
(Ya hussain) x6
(Nokri shabbir ki) x2
  1. (Mere khu(n) ki taharat kehti) x2
  2. Mujhe har shahi se achhi hai (nokri shabbir ki) x2
  3. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2
  4. ye hur jayso(n) ko milti hai (nokri shabbir ki) x4
  5. Ye mansab jisko miljaye, zehra ki duaye(n) pata hai
  6. wo khaak zarra hokar bhi, khud khake shafa banjata hai (ye nemat to hum jeso(n) ki) x2 taqdir banaye rakhti hai (nokri shabbir ki) x4
  7. Ye farshe aza tabuto alam, ye nawhe majlis aur matam
  8. Pani ke sabile(n) aur langar, masum ali asgher ki qasam, (hum ehle aza ki mazhub me) x2 kehlati thi kehlati hai (nokri shabbir ki) x4
  9. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  10. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai, (darwazaye zehra par inki) x2 ta roze qayamat paki hai (nokri shabbir ki) x4
  11. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  12. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai, (is izat ko khud binte ali) x2 qura(n) ki zuba(n) me kehti hai (nokri shabbir ki) x4
  13. Majlis me siyasat mat karna, maula se baqawat mat karna,
  14. Is farshe aza par ake talak, is zikr ki kimat mat karna, (bemaas jo matam karte hai) x2 bus unko shafa at deti hai (nokri shabbir ki) x4
  15. wo sajadaye akhir jalti zamin, jis sajde ka sani hi nahi,
  16. khanjar ke tale jis jam rakhi, shabbir ne haye zakhme jabi(n), (jibril ne akar di ye sada) x2 manzur khuda ne karli hai (nokri shabbir ki) x4
  17. ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai,
  18. ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai, (darwazaye zehra par inki) x2 ta roze qayamat paki hai (nokri shabbir ki) x4
  19. shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai,
  20. khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai, (is izat ko khud binte ali) x2 qura(n) ki zuba(n) me kehti hai (nokri shabbir ki) x4
  21. "rehan" kalam bhi nokar hai, kaghaz bhi ghulame sarwar hai,
  22. darvesh se badhar lafz me aa, likhta jo azaa ka manzar hai, (kehti hai meri noha goyi) x2 taqdir me teri likhdi hai (nokri shabbir ki) x4
  23. (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2
ye hur jayso(n) ko milti hai
(Haya ala khayral amal) x2

SHAHID BALTISTANI : 2005


SHAHID BALTISTANI : 2005



Vichora audio file
VichoraJeene se hamesha gham-e-bezaar thi sughra
Tanhaayi ki afat mei, giriftaar thi sughra
(Ghash rehta tha istarha ke beemar thi sughra) x2
Hosh ata tha karti yahi guftaar thi sughra
(Akbar nahi aaye) x2 haay
(Akbar nahi aaye) x4
  1. Kaise shab-e-baraat manaawu
  2. Kaise mei akbar tumhe bhool jaawu Nana ke roze pe is raat bhaayi tanhaa bhala kaise shamme jalaawu (Mujhko milenga na cheyn) x2 (Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3
  3. Hai eid ka din bhi aane wala
Har ghar mei honga us din ujala
Veeran ghar mei kahe roke sughra
Pehlungi mei eid pe jora kala
(Karti rahungi ye bayn) x2
(Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3
("Arshad" thi sughra ke lab par duhaayi) x2
Baba khushi raas mujhko na aayi




Ghazi ko bachpane mei
(Mere beta abbas) x3
Madine me eik raat ummul baneen bete ko lori sunarahi hai
Abbas abbas abbas abbas
Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  1. (Tere bazuo(n) ke hote) x2 Zainab na gham uthaye
  2. Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  3. Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi
  4. Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi Ya rab wo laal de jo zainab ke kaam aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  5. Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar
  6. Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  7. Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna
  8. Jab tak hain saas baaqi bankar gulam rehna Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  9. Mein hu kaneez-e-zehra fizza se phir bhi kam hu
  10. Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  11. Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda
  12. Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  13. Ab karbala ka manzar raavi ne yu(n) likha hai
  14. Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai Kiski majaal hai jo sheh se nazar milaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  15. Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat
  16. Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  17. Ghazi ke raaste par nazre hai bibio(n) ki
  18. Aur hai dua musalsal zainab ke ye labo(n) ki Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  19. "Rehan azmi" jab be dast ho ke ghazi
Maqtal me girgaya tha reyti pe karbala ki
Madar ki wo nasihat ghazi ko yaad aaye
Abbas abbas abbas abbas



Basta ba zanjeer
(Basta ba zanjeer) x2
Jumla yateema haay
Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema
  1. Jaltay huwe ghar lutti ridaye(n) ah hussaina
  2. kisko sadaa de kisko bulaye ah hussaina. Haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  3. Eik zanjeer-e-sitam bara aseero kay gale
  4. Us pay ye hukm kay har peer-o- jawaan tez chalay Ee sitam haay hussaina Pusht pay partay rahe saath durron kay nishaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  5. Eik beemar aseeron ka jo salaar bana
  6. Thaame zanjeer sitam jaanib-e-darbaar chala Ee sitam haay hussaina Roya shabbir ka sar barsare nok-e-sina haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  7. Dhoop say pyar hay saaye se sarokar nahi
  8. Koi baanu ki tarha bekaso ghamkhwar nahi Ee sitam haay hussaina Kaisay asgher kay binaa saye main jayengi maan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  9. Umm-e-laila ka jigar hogaya paara paara
  10. Us nay dekha hay jawaan lal kay dil main naiza Ee sitam haay hussaina Mu ko ata hay jigar sunti hay jab bhi azaan (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  11. Eik nawshah ki mayat ke bahattar tukre
  12. Maadare Qasim-e- muztar ki nazar say guzre Ee sitam haay hussaina Sar kahan jism kahan dil kahan haath kahaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  13. Wo jo lashkar ka alamdar tha dast-e-shabbir
  14. Bar lab-e-nehr likhi jis ne wafaa ki tahreer Ee sitam haay hussaina Wo nahi hai to nahi ab meray jism mein jaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  15. Kaan zakhmi hai gala khushk jalaa hay daman
  16. Saans leyne nahi deti hai sakina ko rasan Ee sitam haay hussaina Neend aati hai usay wo magar soye kaha haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  17. Be ridayi ki aziyat ko uthane waale
  18. Haay wo ale muhhamad kay gharaane waale Ee sitam haay hussaina Apne is haal pay bhi kar nahi paaye fughaa (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  19. Nauha "Rehan" aseeron ki zubaan main likh kar
Is qadar roya qalam ho gaya qirtaas bhi tar
Ay meri jaan hussaina
Farshe majlis pay huwa qalbo jaan nauha kuna
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2



Zuljanah ay zuljanah
Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  1. Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  2. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  3. Lay gaya ghar se ek pyaase ko, Rab ke mehboob ke nawase ko, Chor ker aagaya laeeno me, Gham zada maa ke tu assase ko. Dhund ne jawu(n) use, is andhere me kaha(n), Mera bachaa hai(n) kaha(n)
  4. (Zuljana ay zuljana mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  5. Jis ne lashe uthaye the din bhar, khune asghar tha jiske chehre par, zakhme akbar ki thi anni dil me, bhayi ki gham me jhuk gayi thi kamar, khaak urhaate hai nabi, hai ali mehve fughaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)
  6. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  7. raqibe dosh mustafa tha wo, tujhko bachpan se chahata tha wo, saath kyu(n) aaj uska chor diya, jabke mushkil me agaya tha wo, bewafayi ka sabab, kya karu(n) tujhko bayaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  8. (Fatema zahra) x4
  9. tere mathe pe khun hai kiska, rang khu(n) ye tere sawaar ka tha, hai mere shir ki mehek usme, kampta hai alam se dil mera, bol khamosh hai kyu(n), tere asu(n) hai rawaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)
  10. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  11. jo teri pyaas par udaas raha, ho ke paani ki aaspaas raha, phir bhi paani piyaa nahi usne, teri khatir wo mehwe yaas raha, khushk tha uska ghala, khushk thi uski zabaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  12. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  13. kaise soyegi ladli uski, jisko sine pa neend aati thi, jisne roka tha tujhko jaate huwe, kya kahega agar wo puchhegi, samna uska na kar, roke dedegi wo jaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  14. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  15. qalb zainab kahee(n) fighar na ho, dilpe ehle haram ke waar na ho, tu jo khayme me jayenga khali, kon hai jo, ke soghwaar na ho, tu jo jaayega wahaa(n), hashr ka honga samaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  16. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  17. na gawaa sar sina pe aayaa nazar, zikre khaliq tha jiske honto par, thaam kar dil larazte haatho(n) se, boli "rehan", madare sarwar, tujhse ay aspe jhari, ab na puchengi ye maa(n), mera bachha hai kahaa(n),
Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
(Fatema zehra) x4
Meera vad maula, sarwar-e-zehra, aho-wawayla



Karobaar nahi
Hayya ala khayril amal
(Ya hussain) x4
Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi
(Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  1. Wo shaks zakir-e-shabbir ho nahi sakta
  2. (Dar-e- zahra ka jo fakir ho nahi sakta) x2 Jissay hai zar say muhabbat aza se pyaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  3. Ghame-hussain jo meezan-e-zar main toltay hay
  4. (Wo apnay zarf-o-lahoo ki zubaan boltay hain hay) x2 Unhey ata-e-imaamat pay aitebaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  5. Jo zikre ale muhammad main daam rakte hain
  6. (Nazar mein kab wo aza-e-imaan rakhtey hain) x2 Wo zakhm detay hain shabbir ko karrar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  7. Jo dekhtay hain muharram ko eid ki surat
  8. (Unhey pasand hai goya yazeed ki surat) x2 Unhe imaam ki amad ka intezaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  9. Wo farsh-e-gham ho kay mehfil ali ki midhat ki
  10. (Jo baat kartay hain har bazm main siyasat ki) x2 Wo apne naam kay taalib hain pursadaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  11. Wo log kon thay hum jin ko aaj rotay hain
  12. (Yeh kis kay tazkeray farsh-e- aza pay rotay hai) x2 Wo log pusht-e- muhammad kay kiya sawaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  13. Gham-e- hussain to darvaish ki ibadat hay
(Jahan-e-dard mein "Rehan" yeh wo daulat hai) x2
Qarar deta hai karta yeh beqarar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2




Maa pukare lot aawo
(Haaye Ali Asghar) x8
(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x3
  1. (Jeena mushkil mera) x2 Ay maa ke dulhaare asghar
  2. (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  3. Tu na jana kya khabar thi gar meri jaan maa hu
  4. Bhulna paawungi tujhko zindagi bhar chaahu(n) (Dekhle haal mera) x2 Ay maa ke sahaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  5. Apne haatho(n) se sajaaya, tujhko dulhe ki tarha
  6. Meri aahosh hai veera(n), dekh jhule ki tarha (Sunlo madar ki sada) x2 Ay jaan se pyaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  7. Tu gaya jab se hai beta, tere bin jee na saku
  8. Hai kasam mujhko meri jaa(n), ab na saaye mei rahu (Maa ko chehra to dikha) x2 Maa sadqa utaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  9. Maa ki jageer hai bas kya, haay shaluka tera
  10. Teri masoom adaaey, wo machalna tera (teri maa tujhpe fida) x2 Awaaz sunade asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  11. Dekho roti hai Sakina sunke ye gham ka sukhan
  12. Khun mei tar mere asghar, ko mila kaisa kafan (Akhri eik diya) x2 Roro ke jalaaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  13. Bole asghar mei hu(n) kamsin, par hu ghazi sa jari
  14. Mujhme zahra ki mehek hai, mei bhi hu(n) khoon-e-ali (Teri godi ka sila) x2 Maqtal mei dikhaaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  15. Meri saanso mei meri maa, teri khushbu hai rachi
  16. Aur nigaaho mei hai meri, teri mamta hai shabi (Tere pehlu ke bina) x2 Ab cheyn na paaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  17. Tere "Yawar" ki dua hai, mere maula Asghar
Aisi awlaad ata kar, jo ho teri nokar
(Sunle maao(n) ki dua) x2 Godo ko sajaade asghar
Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar
(Haaye ali asghar) x2



Sine pe sulane ko
(Akhri raat sakina ki) x2
(Haay haay hay) x3
(Me khaak pa sojaungi) x2 ha kehti hu(n) baba
(Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba) x2
  1. Kehti hu(n) ke chehra hi dikhajayiye baba
  2. Marne se mere pehle hi aajayiye baba Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  3. Bache to bohot chhote huwa karte hai baba
  4. Har aik musibat pe gila karte hai baba Me naaz uthane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  5. Sehlungi jo haathon ki lakiron me likha hai
  6. Zindaan ki andheron ka gila kisne kiya hai Me shamme jalane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  7. Haaye baba, baba mere bachpan ka taqaza to nahi tha
  8. Khabon me khilone the janaza to nahi tha Ghodi me khilane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  9. Baba mere zakhmon ki dawa kon karega
  10. Ab jaan sakina ko bhala kon kahega Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  11. Zindaan ki andheron me sula kyun nahi dete
  12. Baba mujhe marne ki dua kyun nahi dete Me lori sunaneko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  13. Koi bhi nahi aansu mere ponchne wala
  14. Sarpe nahi hathon ko koi pherne wala Bahon me chupane ko kaha kehti hun baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  15. Haaye baba, marjawu agar baba tera shaam ho aana
  16. Bimar akela hai janaze ko uthana Godi me uthane ko kaha kehtu hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  17. Arman sakina ki yahi bayn the haaye
Me kehti rahi baba magar aap na aye
Turbat bhi banane ko kaha keti hu(n) baba
Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba
Baba ko rone wali sine pe sone wali (sakina guzar gayi) x3




Marhaba khairun-nisa
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
Bizate khairal wara ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  1. aisi maan jis pe meri maa qurbaan
  2. jis ke qadmo ki dhul arzo samaa jis ke bete shababe ahle jina jiska shohar he qul ka qul imaan baap fakhre ambhiya ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  3. aisi beti ke baap ki maa he
  4. tu to qalbe rasul me jaan hai teri tazim uspe lazim he jispe utra khuda ka quran hai ai kaneeze kibriya ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  5. jis ne gyara imaam pale hai
  6. sehne kaaba ke jo ujaale hai haye chaki ki wo mushaqat thi daste zahra mai ye jo chhale hai deen jis ke ghar pala ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  7. jo khadija ke qalb ki dharkan
  8. khuld se jo mangaye pehrahan tara utra jahaa salami ko do jahan me hai wo tera angan ye hai tera martaba ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  9. be zaron ko waqare buzar de
  10. tashna kaamo ko jame kausar de tu hai kono makan ki shahzadi tu zamin ko bhi aasmaan karde tu agar karde dua ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  11. tune jis qawm ki dua mangi
  12. hai asar sare matami uski khun apna bahaa rahe hai jo chahiye unko teri khushnudi chahiye teri raza ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  13. dil tera barsare sina bibi
  14. girta lamhon me asmaan bibi bad dua tu kaheen jo kardeti khak hojata ye jahaan bibi dub jaati karabala ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  15. hubbe shabbir me jo qatl huwe
  16. un shaheedon ki maghfirat ke liye teri nazre karam zaruri hai tere baba rasul ke sadqe kar rahe hai ilteja ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  17. roya "rehan azmi" ka qalam
likh ke qirtas par jo tere alam
karb se karbala huwa he dil
khun tapka nigah se peham
hosaka na haq adaa ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2




Surood-e-Aman
(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya
(Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  1. Suraj sitare aabo hawa, bargo shajar sab teri ataa, ye behte dariya, ye rango bu, (dete he humko tera pata) x2
  2. (Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  3. Larka hai jese tera chaman, tune banaye wo panjatan, eik mustafa hai eik murtaza, (shabbir or zahra hai or hassan)x2
  4. (Allah) x4 (la ilaha ilallah) x3 (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  5. Hai masjidon me barsaate khun, teri ibadat kaise karun, ye khof mehshat ka raaj hai, tere namazi hai besukoon, ay rab-e-akbar sunle dua, karte hai tujhse hum iltija, zehra ki chadar saya kare (kehta hai tujhse bandaa tera) x2
  6. (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  7. Ik rab hai quran bhi aik hai, ik deen hai imaan bhi aik hai, rehan phir kyun ye tarfiqa, (qalma musalman bhi aik hai) x2
(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya
(Allah) x6
(allahu qabla kullu shay', allahu ba'ada kullu shay') x2
allahu akbar