Tuesday, November 30, 2010

SHAHID BALTISTANI : 2005


SHAHID BALTISTANI : 2005



Vichora audio file
VichoraJeene se hamesha gham-e-bezaar thi sughra
Tanhaayi ki afat mei, giriftaar thi sughra
(Ghash rehta tha istarha ke beemar thi sughra) x2
Hosh ata tha karti yahi guftaar thi sughra
(Akbar nahi aaye) x2 haay
(Akbar nahi aaye) x4
  1. Kaise shab-e-baraat manaawu
  2. Kaise mei akbar tumhe bhool jaawu Nana ke roze pe is raat bhaayi tanhaa bhala kaise shamme jalaawu (Mujhko milenga na cheyn) x2 (Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3
  3. Hai eid ka din bhi aane wala
Har ghar mei honga us din ujala
Veeran ghar mei kahe roke sughra
Pehlungi mei eid pe jora kala
(Karti rahungi ye bayn) x2
(Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3
("Arshad" thi sughra ke lab par duhaayi) x2
Baba khushi raas mujhko na aayi




Ghazi ko bachpane mei
(Mere beta abbas) x3
Madine me eik raat ummul baneen bete ko lori sunarahi hai
Abbas abbas abbas abbas
Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  1. (Tere bazuo(n) ke hote) x2 Zainab na gham uthaye
  2. Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  3. Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi
  4. Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi Ya rab wo laal de jo zainab ke kaam aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  5. Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar
  6. Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  7. Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna
  8. Jab tak hain saas baaqi bankar gulam rehna Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  9. Mein hu kaneez-e-zehra fizza se phir bhi kam hu
  10. Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  11. Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda
  12. Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  13. Ab karbala ka manzar raavi ne yu(n) likha hai
  14. Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai Kiski majaal hai jo sheh se nazar milaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  15. Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat
  16. Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  17. Ghazi ke raaste par nazre hai bibio(n) ki
  18. Aur hai dua musalsal zainab ke ye labo(n) ki Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
  19. "Rehan azmi" jab be dast ho ke ghazi
Maqtal me girgaya tha reyti pe karbala ki
Madar ki wo nasihat ghazi ko yaad aaye
Abbas abbas abbas abbas



Basta ba zanjeer
(Basta ba zanjeer) x2
Jumla yateema haay
Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema
  1. Jaltay huwe ghar lutti ridaye(n) ah hussaina
  2. kisko sadaa de kisko bulaye ah hussaina. Haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  3. Eik zanjeer-e-sitam bara aseero kay gale
  4. Us pay ye hukm kay har peer-o- jawaan tez chalay Ee sitam haay hussaina Pusht pay partay rahe saath durron kay nishaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  5. Eik beemar aseeron ka jo salaar bana
  6. Thaame zanjeer sitam jaanib-e-darbaar chala Ee sitam haay hussaina Roya shabbir ka sar barsare nok-e-sina haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  7. Dhoop say pyar hay saaye se sarokar nahi
  8. Koi baanu ki tarha bekaso ghamkhwar nahi Ee sitam haay hussaina Kaisay asgher kay binaa saye main jayengi maan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  9. Umm-e-laila ka jigar hogaya paara paara
  10. Us nay dekha hay jawaan lal kay dil main naiza Ee sitam haay hussaina Mu ko ata hay jigar sunti hay jab bhi azaan (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  11. Eik nawshah ki mayat ke bahattar tukre
  12. Maadare Qasim-e- muztar ki nazar say guzre Ee sitam haay hussaina Sar kahan jism kahan dil kahan haath kahaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  13. Wo jo lashkar ka alamdar tha dast-e-shabbir
  14. Bar lab-e-nehr likhi jis ne wafaa ki tahreer Ee sitam haay hussaina Wo nahi hai to nahi ab meray jism mein jaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  15. Kaan zakhmi hai gala khushk jalaa hay daman
  16. Saans leyne nahi deti hai sakina ko rasan Ee sitam haay hussaina Neend aati hai usay wo magar soye kaha haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  17. Be ridayi ki aziyat ko uthane waale
  18. Haay wo ale muhhamad kay gharaane waale Ee sitam haay hussaina Apne is haal pay bhi kar nahi paaye fughaa (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
  19. Nauha "Rehan" aseeron ki zubaan main likh kar
Is qadar roya qalam ho gaya qirtaas bhi tar
Ay meri jaan hussaina
Farshe majlis pay huwa qalbo jaan nauha kuna
(Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2



Zuljanah ay zuljanah
Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  1. Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  2. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  3. Lay gaya ghar se ek pyaase ko, Rab ke mehboob ke nawase ko, Chor ker aagaya laeeno me, Gham zada maa ke tu assase ko. Dhund ne jawu(n) use, is andhere me kaha(n), Mera bachaa hai(n) kaha(n)
  4. (Zuljana ay zuljana mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  5. Jis ne lashe uthaye the din bhar, khune asghar tha jiske chehre par, zakhme akbar ki thi anni dil me, bhayi ki gham me jhuk gayi thi kamar, khaak urhaate hai nabi, hai ali mehve fughaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)
  6. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  7. raqibe dosh mustafa tha wo, tujhko bachpan se chahata tha wo, saath kyu(n) aaj uska chor diya, jabke mushkil me agaya tha wo, bewafayi ka sabab, kya karu(n) tujhko bayaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  8. (Fatema zahra) x4
  9. tere mathe pe khun hai kiska, rang khu(n) ye tere sawaar ka tha, hai mere shir ki mehek usme, kampta hai alam se dil mera, bol khamosh hai kyu(n), tere asu(n) hai rawaa, mera bacha hai(n) kahaa(n)
  10. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  11. jo teri pyaas par udaas raha, ho ke paani ki aaspaas raha, phir bhi paani piyaa nahi usne, teri khatir wo mehwe yaas raha, khushk tha uska ghala, khushk thi uski zabaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  12. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  13. kaise soyegi ladli uski, jisko sine pa neend aati thi, jisne roka tha tujhko jaate huwe, kya kahega agar wo puchhegi, samna uska na kar, roke dedegi wo jaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  14. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  15. qalb zainab kahee(n) fighar na ho, dilpe ehle haram ke waar na ho, tu jo khayme me jayenga khali, kon hai jo, ke soghwaar na ho, tu jo jaayega wahaa(n), hashr ka honga samaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
  16. Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
  17. na gawaa sar sina pe aayaa nazar, zikre khaliq tha jiske honto par, thaam kar dil larazte haatho(n) se, boli "rehan", madare sarwar, tujhse ay aspe jhari, ab na puchengi ye maa(n), mera bachha hai kahaa(n),
Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
(Fatema zehra) x4
Meera vad maula, sarwar-e-zehra, aho-wawayla



Karobaar nahi
Hayya ala khayril amal
(Ya hussain) x4
Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi
(Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  1. Wo shaks zakir-e-shabbir ho nahi sakta
  2. (Dar-e- zahra ka jo fakir ho nahi sakta) x2 Jissay hai zar say muhabbat aza se pyaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  3. Ghame-hussain jo meezan-e-zar main toltay hay
  4. (Wo apnay zarf-o-lahoo ki zubaan boltay hain hay) x2 Unhey ata-e-imaamat pay aitebaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  5. Jo zikre ale muhammad main daam rakte hain
  6. (Nazar mein kab wo aza-e-imaan rakhtey hain) x2 Wo zakhm detay hain shabbir ko karrar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  7. Jo dekhtay hain muharram ko eid ki surat
  8. (Unhey pasand hai goya yazeed ki surat) x2 Unhe imaam ki amad ka intezaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  9. Wo farsh-e-gham ho kay mehfil ali ki midhat ki
  10. (Jo baat kartay hain har bazm main siyasat ki) x2 Wo apne naam kay taalib hain pursadaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  11. Wo log kon thay hum jin ko aaj rotay hain
  12. (Yeh kis kay tazkeray farsh-e- aza pay rotay hai) x2 Wo log pusht-e- muhammad kay kiya sawaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
  13. Gham-e- hussain to darvaish ki ibadat hay
(Jahan-e-dard mein "Rehan" yeh wo daulat hai) x2
Qarar deta hai karta yeh beqarar nahi
Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2




Maa pukare lot aawo
(Haaye Ali Asghar) x8
(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x3
  1. (Jeena mushkil mera) x2 Ay maa ke dulhaare asghar
  2. (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  3. Tu na jana kya khabar thi gar meri jaan maa hu
  4. Bhulna paawungi tujhko zindagi bhar chaahu(n) (Dekhle haal mera) x2 Ay maa ke sahaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  5. Apne haatho(n) se sajaaya, tujhko dulhe ki tarha
  6. Meri aahosh hai veera(n), dekh jhule ki tarha (Sunlo madar ki sada) x2 Ay jaan se pyaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  7. Tu gaya jab se hai beta, tere bin jee na saku
  8. Hai kasam mujhko meri jaa(n), ab na saaye mei rahu (Maa ko chehra to dikha) x2 Maa sadqa utaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  9. Maa ki jageer hai bas kya, haay shaluka tera
  10. Teri masoom adaaey, wo machalna tera (teri maa tujhpe fida) x2 Awaaz sunade asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  11. Dekho roti hai Sakina sunke ye gham ka sukhan
  12. Khun mei tar mere asghar, ko mila kaisa kafan (Akhri eik diya) x2 Roro ke jalaaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  13. Bole asghar mei hu(n) kamsin, par hu ghazi sa jari
  14. Mujhme zahra ki mehek hai, mei bhi hu(n) khoon-e-ali (Teri godi ka sila) x2 Maqtal mei dikhaaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  15. Meri saanso mei meri maa, teri khushbu hai rachi
  16. Aur nigaaho mei hai meri, teri mamta hai shabi (Tere pehlu ke bina) x2 Ab cheyn na paaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
  17. Tere "Yawar" ki dua hai, mere maula Asghar
Aisi awlaad ata kar, jo ho teri nokar
(Sunle maao(n) ki dua) x2 Godo ko sajaade asghar
Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar
(Haaye ali asghar) x2



Sine pe sulane ko
(Akhri raat sakina ki) x2
(Haay haay hay) x3
(Me khaak pa sojaungi) x2 ha kehti hu(n) baba
(Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba) x2
  1. Kehti hu(n) ke chehra hi dikhajayiye baba
  2. Marne se mere pehle hi aajayiye baba Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  3. Bache to bohot chhote huwa karte hai baba
  4. Har aik musibat pe gila karte hai baba Me naaz uthane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  5. Sehlungi jo haathon ki lakiron me likha hai
  6. Zindaan ki andheron ka gila kisne kiya hai Me shamme jalane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  7. Haaye baba, baba mere bachpan ka taqaza to nahi tha
  8. Khabon me khilone the janaza to nahi tha Ghodi me khilane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  9. Baba mere zakhmon ki dawa kon karega
  10. Ab jaan sakina ko bhala kon kahega Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  11. Zindaan ki andheron me sula kyun nahi dete
  12. Baba mujhe marne ki dua kyun nahi dete Me lori sunaneko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  13. Koi bhi nahi aansu mere ponchne wala
  14. Sarpe nahi hathon ko koi pherne wala Bahon me chupane ko kaha kehti hun baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  15. Haaye baba, marjawu agar baba tera shaam ho aana
  16. Bimar akela hai janaze ko uthana Godi me uthane ko kaha kehtu hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
  17. Arman sakina ki yahi bayn the haaye
Me kehti rahi baba magar aap na aye
Turbat bhi banane ko kaha keti hu(n) baba
Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba
Baba ko rone wali sine pe sone wali (sakina guzar gayi) x3




Marhaba khairun-nisa
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
Bizate khairal wara ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  1. aisi maan jis pe meri maa qurbaan
  2. jis ke qadmo ki dhul arzo samaa jis ke bete shababe ahle jina jiska shohar he qul ka qul imaan baap fakhre ambhiya ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  3. aisi beti ke baap ki maa he
  4. tu to qalbe rasul me jaan hai teri tazim uspe lazim he jispe utra khuda ka quran hai ai kaneeze kibriya ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  5. jis ne gyara imaam pale hai
  6. sehne kaaba ke jo ujaale hai haye chaki ki wo mushaqat thi daste zahra mai ye jo chhale hai deen jis ke ghar pala ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  7. jo khadija ke qalb ki dharkan
  8. khuld se jo mangaye pehrahan tara utra jahaa salami ko do jahan me hai wo tera angan ye hai tera martaba ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  9. be zaron ko waqare buzar de
  10. tashna kaamo ko jame kausar de tu hai kono makan ki shahzadi tu zamin ko bhi aasmaan karde tu agar karde dua ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  11. tune jis qawm ki dua mangi
  12. hai asar sare matami uski khun apna bahaa rahe hai jo chahiye unko teri khushnudi chahiye teri raza ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  13. dil tera barsare sina bibi
  14. girta lamhon me asmaan bibi bad dua tu kaheen jo kardeti khak hojata ye jahaan bibi dub jaati karabala ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  15. hubbe shabbir me jo qatl huwe
  16. un shaheedon ki maghfirat ke liye teri nazre karam zaruri hai tere baba rasul ke sadqe kar rahe hai ilteja ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
  17. roya "rehan azmi" ka qalam
likh ke qirtas par jo tere alam
karb se karbala huwa he dil
khun tapka nigah se peham
hosaka na haq adaa ya zahra
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2




Surood-e-Aman
(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya
(Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  1. Suraj sitare aabo hawa, bargo shajar sab teri ataa, ye behte dariya, ye rango bu, (dete he humko tera pata) x2
  2. (Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  3. Larka hai jese tera chaman, tune banaye wo panjatan, eik mustafa hai eik murtaza, (shabbir or zahra hai or hassan)x2
  4. (Allah) x4 (la ilaha ilallah) x3 (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  5. Hai masjidon me barsaate khun, teri ibadat kaise karun, ye khof mehshat ka raaj hai, tere namazi hai besukoon, ay rab-e-akbar sunle dua, karte hai tujhse hum iltija, zehra ki chadar saya kare (kehta hai tujhse bandaa tera) x2
  6. (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
  7. Ik rab hai quran bhi aik hai, ik deen hai imaan bhi aik hai, rehan phir kyun ye tarfiqa, (qalma musalman bhi aik hai) x2
(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya
(Allah) x6
(allahu qabla kullu shay', allahu ba'ada kullu shay') x2
allahu akbar

No comments:

Post a Comment