Monday, November 29, 2010

SHAHID BALTISTANI : 2004



SHAHID BALTISTANI : 2004



Almadad maula raza audio file
Almadad maula raza(Al Madad, Maula Raza) x2 (Maula Raza) x3
(Al Madad, Maula Raza) x4
  1. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa
  2. (Al Madad, Maula Raza) x4
  3. Tu hai masiha –e- jahaan, shaahe khurasaan hai laqab, yu har farishta roz par, aataa hai tere ba adab, haaN rad nahi hoti tere, roze pe koi bhi dua
  4. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
  5. Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu, maange agar tujse koi, daanaai bhi deta hai tu, tu bhi to baabe ilm hai, tu bhi to hai mushkil kushaa
  6. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
  7. Hai zaamine aahu bhi tu, gul bhi hai tu khushbu bhi tu, hai ponchta har aankh se, girte huwe aansu bhi tu, teri ataaye dekh kar, dushman ko bhi kehnaa paraa
  8. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
  9. Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar, kehta hai har zaair tera, roze ki jaali chum kar, mash-had muqaddas ho gaya, tune jo aakar di azaan
  10. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
  11. Tere hi dastar-khaan par, hota hai jannat ka ghumaan, jinno mallak lete hai sab, tere hi dar se rotiyaan, maula tera makruuz hai, har ik gadaao baadshaa
  12. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
  13. Roze se tere duur hai, ham to bohot majbuur hai, aankhon se aansu hai rawaan, dil bhi ghamon se chur hai, tujse kahenge haale dil, izne ziyarat kar ataa
  14. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
  15. Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera, ishke ghame shabbir mei, maare gaye jo bekhata, hai munison yawar tu bhi, ibne shahide karbala
  16. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
  17. "Rehan" mujko hai yaqin, maula raza ki zaat se, ye nokri shabbir ki, jaaegi ab na haath se, nauhe likhunga mei sada, dete rahenge wo silaa
Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x8




Haaye sakina
  1. Haae sakina, qaid hokar, shaam ke zindaan mei, jab aayi
  2. Woh bachi, us andhere, ghar ki taariki se ghabraayi Zamin to farsh thi saaya faghan tha, charkh neel aayi Muqaddar mei musibat ki ye pehli raat dikhlaayi
  3. Phuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thi
  4. Haae phuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thi Haae barehnaa sar khari zindaan ke darwaaze pe roti thi
  5. Udhar se, jo guzar ta tha use kehti thi sultaan jaa
  6. Mei bekas qaid mei baithi hun ik paigaam hai mera Agar baba mile tujko to tu kehnaa qasam khaata Sakina par musibat hai khabar lo ai shahe waala
  7. Agar tujse kahen khaimon mei sota chor aaya hun
To tu kehna dare zindaan pe rota chor aaya hun
Sakina




Abbas jaa rahe hai
(Haae Abbas) x6
Bache tarap rahe hai, Abbas jaa rahay hain, Har bibi ro rahi hai, Abbas jaa rahay hain, Apne rida ko zainab, haaye hasrat se dekhti hai
(Abbas ja rahay hain) x4
  1. Sukhe huwe labon par, bachon zaban na phero, (mashko alam ko dekho) x2 kuch deyr mei yahaan tak, khud nehr aa rahi hai, abbas jaa rahe hai
  2. (Abbas ja rahay hain) x4
  3. Kyun mashk tumne dedi, ghazi ko shahzaadi, (ay ranjo gham ki aadi) x2 khush kyun hai ai sakina, kuch der ki khushi hai, abbas jaa rahe hai
  4. (Abbas ja rahay hain) x4
  5. Jukne lagi qamar hai, abbas ka safar hai (sheh marna jaae dar hai) x2 aafat ghamon alam ki, sarwar pe ghir pari hai, abbas jaa rahe hai
  6. (Abbas ja rahay hain) x4
  7. Ik shore al-atash hai, phailaa huwa fazaa mei, (masroof hai dua mei) x2 kyaa sog karbalaa mei, ummeed aakhri hai, abbas jaa rahe hai
  8. (Abbas ja rahay hain) x4
  9. Khaimon mei shore matam, hone laga hai paiham, (har aankh hogayi nam) x2 shaame gharibaan daaman, phailaati jaa rahi hai, abbas jaa rahe hai
  10. (Abbas ja rahay hain) x4
  11. Zainab ke baazuuon ko, chuma tha jab ali ne, (lamhaat-e-zindagi mei) x2 baazu bandhenge mere, zainab samaj gayi hai, abbas jaa rahe hai
  12. (Abbas ja rahay hain) x4
  13. "Rehan Azmi" wo, manzar na likh sakunga, (bas itna keh sakungaa) x2 kehte the shaahe maula, kam meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai
(Abbas ja rahay hain) x4




Muntazar beythi
(Ai mere babajaan) x2
Baba ko dhund kar roti hai sughra, (shamme jalaati hai) x2
(Shamme jalaaye) x4
(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  1. (Shaam hote hi jisse) x2 daste hai saaye baba
  2. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  3. Tere haathon ke nawaalon mei shifa paati thi, tere kaandhe pe rakhu sar to sukoon paati thi, (chor kar aise gaye) x2 kuch nahi bhaaye baba
  4. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  5. Maine khwaabon mei faqat ranjo alam dekhe hai, larkharaate huwe reyti par kadam dekhe hai, (jaane kya khwaab mujhe) x2 raaz bataaye baba
  6. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  7. Eid guzri hai meri kaisi bataaun kaise, door hun tujse bhala khushiyan manaun kaise, (peyrehen haae siyaha) x2 maine banaye baba
  8. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  9. Mere baba jo madine ko kabhi aawoge, saath chalte huwe in sabke mujhe paaoge, (aansuonse jo diye) x2 maine jalaaye baba
  10. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  11. Tere hujre mei teri khushbu nahi paati hun, dhund ne nana ke roze par chali jaati hun, (tere hone ka yaqin) x2 sughra na paae baba
  12. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  13. Mei jawaani mei zaifi ki taraf jaati hun, chaand ki chaandni baalon mei haaye paati hun, (aisa lagta hai ke din) x2 marne ke aaye baba
  14. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  15. Kyun chupaaya meri dadi ne ayaa hota hai, surkh mitti se yatimi ka ghumaa hota hai, (dadi Salma se kaho) x2 ab na chupaaye baba
  16. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
  17. Ik kone mei hai sehre ki lari ukhri huwi, aur roze pe hai nana ke shamma bujti huwi, (saare "armaan" jale) x2 tum nahi aaye baba
(Shamme jalaaye) x2 Sughra ne kaise soch liya, (baba na aayenge) x2



Aa mere hussain
(Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain) x2
  1. (Aa jaa mere dil ke chain) x2 Aa jaa mere hussein
  2. Ghurbat se maa ke the bain, Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain
  3. Tera janaza maqtal mei tanha, mei rorahi hun ghurbat mei tanhaa, tune uthaaye laashon hai pe laashe, kaise rahe maa hai (mushkil mei beta) x2 maa hun mera baa hussein, Aa jaa mere hussein
  4. Ghurbat se maa ke the bain, Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain
  5. Chalta tha meri ungli ko thaame, karti thi tujpar maa chalke saaye, tu dhoop mei rehgaya suw-e-maqtal, aajaa tujhe maa (kafan mei chupaaye) x2 mehsuus kar maa ke bayn, Aa jaa mere hussein
  6. Ghurbat se maa ke the bain, Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain
  7. Tere gale par chalaa hai jo khanjar, aakar lagaa hai teri maa ke dilpar, ye soch kar mera dil jal raha hai, neze pe jaaega (beta tera sar) x2 pareshan kiye maa ne bayn, Aa jaa mere hussein
Ghurbat se maa ke the bain, Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain




Bekas pardesi
Shaam jaate huwe, roke sajjad ne kahaa, Assalaam ai bekas baba, bekas bete ka salaam
(Assalaamun alayk, ya gharib huseina) x3
(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x3
  1. (Mei saath phuphi ke ai baba) x2 Qur'aan sunaaunga
  2. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  3. Ho tumpe salaam mera, ai mere gharib padar, ik qaafela tha tera, ik mei bhi chala lekar (mei ibne hussein hun ay baba) x2 zaalim ko bataaunga
  4. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  5. Teri pyaari sakina bhi, mere saath safar mei hai, har gaam pe shahzaadi, bhai ki nazar mei hai, (mei dhuup mei reh kar ai baba) x2 use saaye mei laaunga
  6. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  7. Zainab ko bin chaadar, jab dekh na paaoge, haae noke sina se phir, quraan sunaaoge, (aawaaz mei teri ai baba) x2 aawaaz milaaunga
  8. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  9. Ik rassi mei baba, haay baara gale honge, sab chote bare baba, ik saath bandhe honge, (mehmil se girte bachon ko) x2 sine se lagaaunga
  10. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  11. Ham qaidi bane honge, darbaar sajaa hoga, haae tasht kalaa mei aur, sar tera rakha hoga, (us pal mei sakina ko baba) x2 kis tarha sambhaalunga
  12. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  13. Maangega sakina ko, ik shaami kanizi mei, marjaaunga mei baba, sunkar ye aseeri mei, (zahra ki shabi ko ay baba) x2 zaalim se bachaaunga
  14. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  15. Teri yaad mei roro kar, zindaa na basaayengi, phir mout sakina ki, ham sab ko rulaaegi, (mei us ki lahad bhi ay baba) x2 haathon se banaaunga
  16. (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
  17. Paaband-e-rasan yaawar, ye qaafela jab nikla, bimaar imaam mera, karta raha ye nauha, (hai teri qasam mujko baba) x2 tera naam bachaaunga
(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2




Namaaz-e-shab
Shab ki taariki mei, namaaz-e-shab ke baad, mera mazloom imaam, dua maang rahaa hai, mere maula tujhe waasta, is gharib ke, ashkon ka, sukuune dil ke liye kar, mujhe sakina ata
(Allah, Allah, Allah, Allah) x2
Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaz-e-Shab mei koi baap maangta hai dua
  1. (Sukuune dil ke liye kar) x2, mujhe sakina ata
  2. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  3. Diya hai sabr to mujko, karaar bhi dede, mehek batul ki haider, ka pyaar bhi dede, mei baagh baagh rahun who, mujhe kahen baba
  4. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  5. Who mere sine pe soye, to dharkane khush ho, chale who ungli pakar kar, to aahaate khush ho, who maang paani to haathon ko mei karun kuza
  6. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  7. Ibadaton ka silaa tujse maangtaa hun mei, yehi to eik dua tujse maangta hun mei, charaagh-e-khaimaa bhujaawun, to who ho misle diya
  8. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  9. Sunaa hai beti janaaze ki hoti hai ronak, mujhe bhi chaahiye quraane, zindagi ka waraq, mile janaaze ki rounak, baraaye karbobala
  10. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  11. Khuda ne sunli duaae, hussein ibne ali, mili who beti jo bilkul, shabihe zahra thi, sukuun mil gaya sheh ko, sakina naam rakha
  12. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  13. Magar sukuun ye karbobala mei jaata rahaa, huwi yateem sakina bandha rasan me gala, hussein rote the ye kehte barsare neza
  14. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  15. Pase hussein sakina ne who sitam dekhe, tarap ke kehti thi bachi, padar ke laashe se, chupaalo khun bhare daaman mei mujko ai baba
  16. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  17. Sare hussein se aayi sadaa sare maidaan, namaaz-e-shab ki dua ka asar sakina jaan, karenga teri hifazat wo naam hai jiska
  18. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
  19. "Rehan azmi" kehti thi karbala ki fazaa, hai baap beti ka ye imtehaan kaisa khuda, har eik zulm pe dono ke lab pe hai ye sada
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua 





Akbar-e-man audio file
Akbar-e-man(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  1. Ay mere raahate jaa naujawaan, Akbare maa, tujpe qurbaan ye maa naujawaan, Akbare maa, jawaan
  2. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  3. Saal atharwaa kya banke qayamat aaya, chand se sine pe pardes mei neza khaya, hai kahaan zakhme sinaa, bol kuch to meri jaan
  4. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  5. Baap ki aankhon se binaai meri aas gayi, tujko kausar ki taraf leke teri pyaas gayi, meri tarapti hun yahaan, ay meri raahate jaan
  6. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  7. Waada sughra se kiya tha jo chale the garse, lout aaunga bohot jald mei tujse milne, dhund ti hai who behen, tere kadmon ke nishaan
  8. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  9. Tumko athara baras naazon se jisne paala, who phuphi beton se bharkar tumhe jisne chaha, kehti hai laut ke aa, ho gaya waqte azaan
  10. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  11. Khaake sine pe sina sota hai tu lakhte jigar, tere bin zindaa na rehpaaegi teri madar, uske haathon mei rasan, jiska ho laal jawaan
  12. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  13. Aagayi gyara moharam hai safar zindaan ka, he pase-pusht bandhe haath nahi sarpe rida, kya gawaara hai tujhe, thokare khaye ye maa
  14. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  15. Touk karta hai fughaan karti hai matam zanjeer, ashk khun rote hai neze pe janabe shabbir, paaye Sajjad ke hai, aable nauha kunaa
  16. (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
  17. Maa ke armaan tere saath hi soye ban mei, tune sine pe sina khaayi kuch aise ran mei, roya "Rehan" kalam, likh ke laila ka bayaan
(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare mann




Ya Sayyeda
(Haae Zaeefa fatema) x2
Rokar pukaari, apne baba se, hasnain ki, zaeefa maa
subbat alayya, masaibun, lau annahaa, subbat alal ayyaami, sirna, layaaliyaa
(Sayyada, Fatema, Tahera, Sayyada) x4
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2
  1. (Ay Atharaa baras ki paak, zaeefa bibi) x2 zindagi hai teri masaa'ib ka sahifa bibi
  2. (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
  3. Is saari qaaenaat mei, zahra hi aisi maa hai, saaya fighan usi pe, zakhmon ka aasmaan hai, tori gayi hai zulm se, bibi ki pasliyaan, rukhsaar pe tamache ka, bibi pe ek nishaan hai
  4. (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
  5. Dunya se jo ye baat hi, kehti chali gayi hai, baba sitam ki mujpe, wo intehaa huwi hai, parhte jo din pe raat sa, tareek hota din, talwaar-e-gham kaleje par, baba mere chali hai
  6. (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
  7. Who ghar jahaan pe mout bhi, ijazat talab huwi hai, us dar ko aag aap ki, ummat lagaa rahi hai, mohsin shaheed hogaya, baba sitam huwa, baba tumhaari fatema, chakra ke gir pari hai
  8. (Haye zaeefa fatema) x2
  9. Baad-e-Wisal-e-zahra bhi, gham ka safar raha hai, uski misaal shaam hai, kufa hai karbala hai, zahra ke bete betiyaan, khun mei nahaa gaye, neze pe koi sar koi, sar beridaa huwa hai
  10. (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
  11. Ye maa jab apne laal ke, laashe pe aayi thi, aankhon se ashk laab pe, bas yeh duhaai thi, kehti thi mere laal ay, mere tishnalab hussein, tu hi to mujh gharib ki, saari kamaayi thi
  12. (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
  13. Is maa ne saath shaam ka, pedal safar kiya hai, zainab ko raahe shaam mei, wo honslaa diya hai, rokar pukaari saath hai, zainab ye teri maa, tu beridaa nahi hai ye, zahra ka sar khula hai
  14. (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
  15. Darbaar-e-shaam mei gayi, zainab jo beridaa thi, beti ke saath rote, wohi amma sayyada thi, kehti thi teri aur meri, taqdeer ek hai, tujh par ghamon ki had huwi, mujh par bhi intiha thi
  16. (Haye zaeefa fatema) x4
  17. "Rehan azmi" ye, hasnain ki jo maa hai, maqtal mei karbala ke, karti huwi fughaan hai, bikhre hai baal dard se, chehraa nidhaal hai, gham se zaeef hogayi, aankhon se khun rawaan hai
(Sayyeda fatema tahera sayyeda) x4

1 comment:

  1. Mashaallah brother, May Allah Azza wa jal rewards for for ur service towards Imam of Our time...Jazakallah khair....

    ReplyDelete