faryad e darvaish
Tuesday, November 30, 2010
SHAHID BALTISTANI : 2007

SHAHID BALTISTANI : 2007
Qasim di mehendhi audio file
Qasim di mehendhi(qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi) x2
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- (Zainab ki hasrat, khuwahish hasan ki) x2
arman sugra Qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- (pani nahin tha khoon main ghuli hai, joo bu hai khoon ki khusboo wahi hai) x2
pamal hokar ran main sumo se, parhti hai noha qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- (bazoo juda hai, tukre badan hai, matam ka jora pehne dulhan hai) x2
dulha ki maan ko, ujri dulhan ko, deti hai pursa qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- (Arsh-o-zameen par pehle na dekhi na aesi mehndi na aesi shaadi) x2
sab so chuke hai ran main barati roti hai tanha qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi
qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi
- (tukre badan kai, ibn-e-hasn kai daman main chun kar shabir laaye) x2
madar yeh samjhi kheme kai dar par, laaye hain mola qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- (shadi kai ghar main matam hai barpa roti hai farwa roti hai kubra) x2
karbo bala main kis kis ko degi tanha dilasa qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- (pani nahin tha khoon main ghuli hai, joo bu hai khoon ki khusboo wahi hai) x2
pamal hokar ran main sumo se, parhti hai noha qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- (bazoo juda hai, tukre badan hai, matam ka jora pehne dulhan hai) x2
dulha ki maan ko, ujri dulhan ko, deti hai pursa qasim di mehndi
(bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina qasim di mehndi) x2
- ("Rehan" kehdo har matami sai shadi ho ghar main jab bhi kisi kai) x2
qasim ki pehle majlis bapa ho, bhule na dhula qasim di mehndi
qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi
Zainab bint-e-Ali
(Akilatul laarhaa) x8
Ay munkaro nakir sunlo meri sada tum ko nahi pataa zainab ka hu(n) fakirYeh Kabr nahi hai(n) uskaa hai aza khana jo bint-e-Murtaza hai Shabbir ki hamshir
(Zainab binte Ali) x8
- Ay nakirayn sawaalo ki na bharwar karo, Farshe majlis hai yaha(n) awo adab se betho Sheh ki majlis ho bapa hukm dete hai yahi (Zainab binte Ali) x8
- Tum bhi aate the dar-e-binte Ali pe aksar Sajda-e-shukr kiya maine bhi us chowkhat par Jab bhi sajde me jabee(n) mein bhi kehta tha yahi (Zainab binte Ali) x8
- Kon hai maula mera tum ko batata hu abhi Aawo betho tumhe talkeen sunata hu abhi Kya tumhe yaad nahi hai madadghar meri (Zainab binte Ali) x8
- Daagh-e-matam jo hai tehrir mere sine par Saath aaya hai mere tera hawala bankar Ham kafan par bhi mere ye ibadat hai likhi (Zainab binte Ali) x8
- Tum ko batalatu hu me ashk azaa ki qimat Ek aansoo ki barabar nahi baagh-e-jannat Rone waalo ke liye parti hai nade ali (Zainab binte Ali) x8
- Sunke ye baat nakirayn ne khaalik se kahaa Ai khuda banda-e-zainab hai ye banda tera Kya sawaal isse kare iske lab par hai abhi (Zainab binte Ali) x8
- Hum sawaalat ke khatir to nahi aate hai Khayriyat puch ke momin ki chale jate hai Khuch nahi keh te use jiske zamin ho bani (Zainab binte Ali) x8
- Phir nakirayn ne aapas me ye tey kar ke kaha Chor do sare sawaalaat sunawo nawha Per musalsal ye sadaa kabr se aati rahi (Zainab binte Ali) x8
- Ay nakirayn wo Abbas-e-Ali ki Khwahar Majma-e-ahle sitam mei ye pukari ro ker me wohi bibi hu(n) Jisko kehte hai nabi (Zainab binte Ali) x8
- Baad "Darvaish" ne "Rehan" ye saabit ker di
aake Karde gi nahi jise bhi ho razi
(Zainab binte Ali) x8
Fikr-e-Iqbal
(Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
- Musalmano kaa Qibla Rozaa-e-Shabbir ho jaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2 Gham-e-Shabbir ko chashme muhammad se agar dekhe kabhibhi bhi majiliso mataam ko tu bid'at nahi samje Tere maslak me fayiz matam-e-shabbir ho jaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2 shab-e-majlis shahoor aya yaha ansoo bahane kaa tumharaa dil bhi chaahenga azakhane me jane ka Tumhare samne firdos jageer ho jaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
- Tuje Quran me tathir ki ayat nahi milti sabab ye hai ke matam daar se fitrat nahi milti Nisha(n) matam ka sine per abhi tehrir hojaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
- Janab-e-Hazrat-e-Shabbir ki jo maa hai ye logo Muhammad ne use khud maa kahaa ek madar socho to Roza Fatema Zehra abhi tameer ho jaye (Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
- Nishan-e-Matam-e-Shabbir hai sadiyo(n) ko sine par
woh abh khamosh har tehrir ho takrir ho jaye
(Baya(n) sir me shahadat ki agar tafseer ho jaye) x2
Sham-e-Gharibaa(n)
Kayamat ke manzar sare kabalaa hai na salaar hai aur na lasker bachaa hai Kayamat ke manzar
Khudda yaa kise per na rota hai aisiye kehte hai suraj gurur ho gayaa hai
Kayamat ke manzar
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n), saadat hai pardes hai
Kya waqt hai Ghazi nahi Zainab hai Nigheban
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2 saadat hai pardes hai
- Ai raat andhero ko zara aur barhaa de Maqtal ki hawaa jhalte Charagho(n) ko bujaa de Dekhe naa Alamdaar behen ko sar-e-uriyaan (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2 saadat hai pardes hai
- Bibi koyi jhule ki jali raakh utha ker kehti hai agar tu nahi aayaa Ali asgar khud run me chali aaengi besheer teri maa (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
- Tu bhi naa rahaa jee ke karoo(n) kiyaa mere bache khud apnne hi hatho(n) se meri kabr bana de lailaa pe ye hoga Ali Akber tera ashsaan (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
- Daryaa ke taraf aah hai alamdaar kaa laashaa maqtal me ajab haal se ati hai sakina Khaimo kaa dhuwa(n) aankh me jhal taa huwaa daman (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
- kehte hai ye jhalte huwe khaymo(n) mei musalle sajaad tahajud to zara chain se perhle Afsoos ye mohlat bhi nahi dete musalman (Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
- Woh waqt "taqallum" thaa ajab bint-e-ali per
me baap hu Zainab muje pehchaan meri jaan
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
Sakina jaag jayengi
(Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari) x2
Majawo shor na logo sakina Jaag Jayengi(Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Kabhi Bachi ko takta hai kabhi aansoo(n) bahata hai Dar-e-Zindan se behta musafir sabse kehtaa hai zaraa aaram se guzro sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Kisi bhi Zulm ke jo aah ki khatir wo lab khulte Tarap ker Abid-e-bimar ye kehta thaa hoto se agar ye aah nikli to sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Abhi Zindan me hojayi ga kohraam ye barpa who aahat simt ke samjegi ke shayed aa gaye baba Dar-e-Zindan naa kholo sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Ye wadaa hai meraa pani nahi mangooga me tum se wo jab uthtjaya to jee bhar ke beshak maar na dure abhi bekas ko na maro sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Abhi azad ho tum qayd ke matlab ko kiya jano parindo chordo zindan meri iltejaa maango chale jawoo naa yu chehko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Sar-e-Zinda sakina ko kazaa ki neend kiyaa aayi kisi se kuch nahi kehtaa hai itna mazloom thaa bhayi ke ab ye der nahi usko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Agar Aulaad wale ho tumhe ye sab pataa hoga adhoori neendh se uth jaye jo bachi to kiya hoga khudara shimr ko roko sakina Jaag Jayengi (Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
- Saf-e-matam se abid ka ye "Akbar" bayn aata hai
Sada matam ki na roko, Sakina jaag jayengi
(Meri Zanjeer Na Khencho sakina Jaag Jayengi) x2
(Haye Sajjad Muhari haye Bimaar muhari) x2
Be khata mara gaya
(Ya Hassan) x6
(Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba) x3- Sehr se nikle jigar, khu(n) se kafan laal huwa Wa Hassan-e-sabz-e-qaba (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
- Oogal te huwe bhayi ko behan ne dekha (or tarap ker ye kaha) x2 Teri gurbat pe bhayi teri Zainab ho fidaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
- Maa ke dukh se abhi azad kaha(n) thi zainab (hogaya kaisa gazab) x2 Baap zinda na raha Bhayi suwe khuld gaya wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
- Ker diya Zahr-e-hala hal ne Jigar ke tukre (Aur Qasim ke liye) x2 Kamsini me hai ye gham Sham-e-gharibi jaisa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
- Aise ik baar janaza jo nikal jata hai (jab wo phir aata hain) x2 Aisa taboot hai ye lot ke jo ghar ayaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
- Sheh ne us wakht jo Ghazi ko na roka hoga (hashr ho jata bapaa) x2 teer aate na janaze pe tumhare Maula wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba (Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba) x2
- Sheh ko "Rehan" baraadar kaa jigar yaad aya (jab se karbobala) x2 Tukde Qassim ke utha te huwe maula ne kaha wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Mere ghazi kahaan ho
(mere ghazi kahaan ho) x2
(Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho) x2- ay mere bawafa, hai bahan berida, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Tujhko dekhe bina, chayn ata nahi Noke neza pe sar tera milta nahi Me ziyarat karun, kistarha ye bataa, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Laaj rakhlo bahan ki baradar mere Khaak maqtal mere sar ka parda bane, Hukm dedo zara, muntazir hai hawa, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Tere bazu mujhe raste me mile, Mene chadar samaj kar wo sar par rakhe Bazuwo se tera, puchhti hu pata, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Dekh kar behn ko dasht me nange sar, Kya haya agayi, chhup gaye ho kidhar, Khud chali awungi, tum bataado zara, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Mene bachpan me lori sunayi tujhe, Mene chalna sikhaya tha bhayi tujhe Raah pur khaar par, mujhko chalna sikha, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Wo teri laadli wo sakina teri Chalte naaqe se jab khaak par ghir gayi Dekhti rehgayi, wo suwe alqama, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Jo bane murtaza me wo ehsas hu(n), Berida bibiyon ki me Abbas hu(n) Tum meri aas the, ay mere bawafa, mere ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
- Waris-e-ambhiya ki me hamsheer hu(n),
koi "Yawar" nahi, kisko du me sadaa, mere ghazi kahaan ho
Teri jageer se, chal para kaafla, mere ghazi kahaan ho
SHAHID BALTISTANI : 2006

SHAHID BALTISTANI : 2006
Qaza audio file
Qaza video file
QazaAy jaan-e-man ya hussain, ay deen-e-man ya hussain (ishk-e-tora zindagi, man sagi tu ya hussain) x2
Ay waqt-e-ajal rukhja, dede mujhe kuch lamhe
Ashko(n) se wuzu karke (ik baar ye kehne de) x2
(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Eik awaaz suni bad-e-azan waqt-e-jannam ye wohi naam tha jis naam ka ab hai matam (Baap ne deke azaa(n)) x2 Kan mei di ye sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Bolna bhi nahi sikha tha magar seekh liya Azmat-e-farsh-e-aza matam-e-shabbir hai kya (Haath sina pe gaya) x2 Ayi jis waqt sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Jab zara hosh sambhala to ye taleem mili Bolo beta ke ali to hai imam-e-azali (Panjetan paanch kaho) x2 Phir kaho aaka mera (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Maut barhak hai to isse mujhe inkaar nahi Juz gham-e-sibt-e-nabi kuch mujhe darkaar nahi (Hai agar waqt-e-qaza) x2 Mujhko kehne de zara (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Maut kehne lagi ajaawu(n) to kab talti hu Tere saaye ki tarha saath raha karti hu(n) (Maut se mene kahaa(n)) x2 Ayi kehti huwi ya (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Ambhiya chore na chore hai farishte mene Ruh se jism ke rad kardiye rishte mene (Us pe kuch bas na chala) x2 Jis ne ik baar kahaa(n) (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Maat khayi hai sar-e-karbobala rab ki qasam Dekha ansar-e-hussaini ko to larze the qadam (Unse jis waqt mili) x2 Mujhko bhi kehna para (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Haye jis waqt chala sibt-e-nabi par khanjar Mene chaaha ke mei marjaawu(n) wahi par ghirkar (par ye tha hukm-e-khuda) x2 Chaahiye mujhko mera (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Ruh-e-shabbir ko rote huwe jab kabz kiya Tha meri pusht pe mawjood wohi ik saaya (Mene ki uspe nazar) x2 thi ye zahra ki sada (Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
- Mawt "Rehan" muhibbo(n) ko kaha ati hai
(Kabr mei jaake bhi ham) x2 Kya kahe iske siwa
(Hussain hussain hussain, ya hussain) x4
Wird-e-Ali
(Ay mere maula) x3 (Ali maula haider maula haider) x3
Ay matti-e-adam ke maliq mere maulaAy dast-e-khuda chehra-e-khaliq mere maula
Allah ki marzi se tu hi to bana hai
Kul arz-o-samawat ka raziq mere maula
(Ali maula haider maula haider) x3
- Tu ilm hai tu hi aag hi hai Tu ishq hai tu hi roshni hai (Ali maula haider maula haider) x3
- Ay noor-e-kamil akar mita de
(Ali maula haider maula haider) x3
(Bedam yahi wo paanch hai maqsood-e-qaayinaat) x2
Khayrun-nisa, hassan-o-hussain, mustafa
Mustafa murtaza (fatema mujtaba) x2
Ya (ya hussain) x6
(Ay mere maula) x2
Ghayrat ka khuda
(Ay alamdare hussain wa-abbasa) x2
Wa-abbasa, abbasaKhayme ka parda hai utha, wa-abbasa
Kon chala suwe dariya, abbasa
Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Aane ko hai qayamat, mehsoos ho raha hai Wo ghar se yu(n) chala hai, dharti pe zalzala hai, Aada ka har sipahi ye kehke bhagta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Chehra ali ka chehra, khushbu ali ki khushbu, Sina ali ka sina, bazu ali ke bazu Jis rukh se dekhte hai, tasveer-e-murtuza hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Haa isne bachpane me, maa se sabak ye sikha, Shabbir ki ghulami, sab se bara hai rutba, Ye sher is sabak ko dohraye jaa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Haider he isme azam, har dard ki dawa hai Quran kehraha hai, ye naam ik dua hai Ghazi hai naam jiska haider ki wo dua hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa, Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Izne vhigha nahi hai, hasrat hai bas vhigha ki Talwar sheh ne rakhli, qismat hai ashkiya ki Mashkiza bazuwo(n) ke badle bacha raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Tashna labi ka alam, mojo pe gara parcham, Kabze me leke paani, lab ko nahi kiya nam Dariya se pyaas bharke, wapas jo aaraha hai Ghazi hai bawafa hai, abbasa Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Duba huwa lahu me, parcham jo aa raha hai, Pyaaso(n) ka farte gham se, dil ddubne laga hai Boli sakina tthero, paani wo laa raha hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- Bazu to katt chuke hai, mashkiza chid gaya hai Kya ghar ko jaye ghazi, ghayrat ka marhala hai, Haye tashnalab ka chehra nazro me ghumta hai Ghazi hai bawafa hai Ye kon aaraha hai, ghayrat ka ye khuda hai, (ghazi hai bawafa hai) x2
- "Rehan" gham se ttuti, shabbir ki kamar hai,
Lekin lahu se apne, wo likh ke jaa raha hai
Ghazi hai bawafa hai, abbasa, abbasa
Turbat
Inna lillahi wa inna ilayhi raaje’oon
(Sakina guzar gayi) x3(Ab tak nahi soyi hu) x2 sulaane chale aawo
(Turbat pe diya baba jalaane chale aawo) x2
- Baba mujhe mati ka makaa(n) aisa mila hai Andhera jahaa(n) tera pata puch raha hai Baba meri tanhaayi, mitane chale aawo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
- Asghar ki tarha mujhko sulaane nahi aaye Baba mera lasha bhi uthane nahi aye Choti si Sakina ko manane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
- Kya aap koi basti basaane gaye baba Sughra se kiya wada, nibhaane gaye baba Itna to Sakina ko bataane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
- Dadi ki tarha mei bhi tere saath chali hu(n) Baba mei tere sabr ke saaye mei pali hu(n) Ansu jo chupaate ho, dikhaane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
- Jo teri ghareebi ka akela tha sahara Pani ke liye mene usse kho diya baba Ye daagh kaleje ka mitane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
- Kuch aise jhuka bhaayi ke phir uthna saka hai Baqir ka gala haaye qamar se jo bandha hai Beemar se milne ke bahane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
- Acha mujhe sine pe sulana nahi baba Kehti hu jo amma ko batana nahi baba Ehsaas yateemi ka mitane chale awo Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
- "Arman" ye turbat se Sakina ki sada hai
Ab phoolo(n) ki chadar hi, charhaane chale awo
Ab tak nahi soyi hu, sulaane chale aawo, Turbat pe diya baba jalaane chale aawo
(Aajaiye baba) x2
Abu ar-reza
(Yabna jaffar, abur-raza) x2 (Abur-raza) x2
(Ya musa-e-kazim) x2Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda
(Ya musa-e-kazim) x4
- Tere baba imam-e-sadiq hai Jiske dam se hai Jafferi sare Deen-o-mazhab, sabak ibadat hai Ham ko saye usi ke dar se mile Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Hai qaramat-e-murtaza tujhme Saa’ilo(n) ke bhi ye ata tujhme Rad jo hoti nahi kisi surat Saans leti hai wo dua tujhme Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Tum bhi hajat rawa-e-alam ho Haideriyyat ka azm-e-mauqam ho Tum dua-e-janab-e-zahra se Pursadar-e-janab-e-adam ho Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Bas junoon-o-jabal jilawatni Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi Kitne dana the tere diwane Umr bhar teri nokri karli Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2 Almadad (maula raza) x3
- Tera beta imam-e-zamin hai Jiske qabze mei raat hai din hai Wo khurasaan ka hai shehzada Har shifa uske dar pe mumkin hai Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Teri dukhtar hai qum ki shehzaadi Uski chowkat pe de sada jo bhi Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai Ghamse milti hai usko aazaadi Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Tere taboot ki wo tanhaayi Na tha beta ghareeb na bhaayi Chand mazboor aye ujrat par Lash raste se teri uthwaayi Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Hai najaf dushmano(n) ke narghe mei Karbala samara ke raste mei Bekafan momino(n) ke laashe hai Kufr dakhil huwa madine mei Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai Tera sikka jahaa(n) waa’ij hai Ham to har imtihaa(n) se guzrenge Dene wala tuhi nata’ij hai Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
- Tu bhi "Rehan" istighasa kar
Nauha goyi karu qayamat tak
Aur ghulaami karu dar-e-shah par
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
(Yabn-e-jaffar abur-raza) x2 Abur-raza
Ay mere bhaayi hussain
Suno suno, shab-e-ashoor ka ye manzar hai, haay haay haay
Sirhaane bhaayi ke bethi, ali ki dukhtar hai, haay haay haayWo kehrahi hai mera sabr, azmaaoge
(Ay mere bhaayi hussain) x3
Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Meri nigaah mei bachpan ki sari yaade hai Kahi thi nana ne jo yaad wo bhi baate hai Sahar se pehle charagho(n) ko tum bujhaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Nabi sawari tumhari sawaar tum bhaayi The amma zahra ke dil ka karaar tum bhaayi Aur aaj khoon mei apne hi, tum nahaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Tumhare chehre ka ye itminaan jaanti hu Tumhara hona hai jo imtihaan jaanti hu Bahan se dard-e-jigar ko chupa na paaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Guloo-e-asghar-e-besheer sina-e-akbar Sata raha hai tumhe sabr kar rahe ho magar Rida ke baat pe nazre mila na paaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Abhi to bali Sakina ka zikr baqi hai Abhi to sham-e-ghariban ki fikr baqi hai Rakhonge yaad kisse kisko bhool jaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Na gham karo mere bhaayi tumhare baad bahan Rida na orhenge jab tak tumhe mile na kafan Ye dukh hai saath hamare watan na jaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Kahaa(n) Hussain ne sunkar, kalaam Zainab ka Hamari jaan ke badle bache tera parda Ye kya kahaa(n) ke mera sabr azmaaoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Tere baghayr muqammal nahi payaam mera Tere baghayr adhura hai ab to naam mera Kaho(n) mei aawungi majlis mei jab bulaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- Ye guftugu thi ke gunji azaan-e-akbar ki "Rehan" hoti thi yalgaar sheh pe lashkar ki Ali ki beti pukaari hame rulaawoge (Ay mere bhaayi hussain) x2 Qadam qadam pe mujhe bhaayi yaad aawoge
- (Sahar ko nana ka wada) x2 Jo tum nibhaawoge
Ali akbar-e-man
Kaha(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-maa
Pura kardo na ye armaan ali akbar-e-maaLot awo na watan
(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Jabse tum ghar se gaye lutf-e-azaan jaata raha Lot aane ka jo wada tha wo rulwaata raha Chand lamho(n) ki hu mehmaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Aisi tanhaayi ke tanhaayi ko dar lagta hai Aisi manzar hai ke binaayi ko dar lagta hai Ghar mujhe lagta hai zindaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Tere hote huwe abaad the raste sare Teergi mei bhi the angan mei chamakte tare Zindagi hogayi veeraan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Tu nahi ata to ik khaat hi rawana karde Mere jeene ka yahi eik bahana karde Itna kehna to mera maan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Ab na baba se shikayat hai na amma se gila Mei to beemar hu beemar se rishta kaisa Gham ye hai phool phuphi jaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Meri ankho(n) mei tumhe ashk gawara hi na the Tere bin kaatu(n) ye beemar ke lamhe kaise Mawt hai samne har aan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Qabr-e-zahra pe bhi ab jaane ki himmat na rahi Ab diya ghar mei jalaane ki bhi taakat na rahi Natawano(n) ka hai tufan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Koyi chota bhi hawa ka jo idhar aata hai Mujhse pehle mera dil jaanib-e-dar jaata hai Bas hai ahat pe lagi kaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Kya kabhi socha bahan dard se roti hongi Lot ke aawo to wo qabr me soti hongi Hai bohot iska bhi imkaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Ya to pardes se sughra ka kafan ley aawo Ya mere jeete huwe apni dulhan ley aawo Rakho itna to mera maan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Kya koi apna watan chor ke yu(n) jaata hai Shaam ko ghar me parinda bhi chala aata hai Ay meri ghar ki nigehbaan Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan (Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
- Ghash ke aalam me bhi "Rehan" tha Sughra ka bayaa(n)
Ay meri bolte qur’aan
Ali akbar-e-maa, lot aawo na watan
(Kahaa(n) sughra ne meri jaan ali akbar-e-man, lot aawo na watan) x2
Baba jaan
Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,
Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa, mere lehje me hai, baba teri ada naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- babajaan me rida mangti rehgayi, bamo dar saj gaye, jiteji margayi, halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai, aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- shaam ashur se, shamo kufa talak, mene manga nahi hai kharaje fadak, meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- babajaan ye tera akhri tha bayan, teri chadar bachayega ghazi jawaa(n), margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n) (Abbas) x9
- ruk na paya mere bawafa ka wo sar, noke neza se aane laga khaak par, behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai, aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me, misle zahra khari hu(n) me aghyar me, us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n) (Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
- Aysa khutba diya mene darbar me,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
Darvaish / nokri shabbir ki
(Haya ala khayral amal) x2
(Ya hussain) x6(Nokri shabbir ki) x2
- (Mere khu(n) ki taharat kehti) x2 Mujhe har shahi se achhi hai (nokri shabbir ki) x2
- (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2 ye hur jayso(n) ko milti hai (nokri shabbir ki) x4
- Ye mansab jisko miljaye, zehra ki duaye(n) pata hai wo khaak zarra hokar bhi, khud khake shafa banjata hai (ye nemat to hum jeso(n) ki) x2 taqdir banaye rakhti hai (nokri shabbir ki) x4
- Ye farshe aza tabuto alam, ye nawhe majlis aur matam Pani ke sabile(n) aur langar, masum ali asgher ki qasam, (hum ehle aza ki mazhub me) x2 kehlati thi kehlati hai (nokri shabbir ki) x4
- ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai, ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai, (darwazaye zehra par inki) x2 ta roze qayamat paki hai (nokri shabbir ki) x4
- shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai, khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai, (is izat ko khud binte ali) x2 qura(n) ki zuba(n) me kehti hai (nokri shabbir ki) x4
- Majlis me siyasat mat karna, maula se baqawat mat karna, Is farshe aza par ake talak, is zikr ki kimat mat karna, (bemaas jo matam karte hai) x2 bus unko shafa at deti hai (nokri shabbir ki) x4
- wo sajadaye akhir jalti zamin, jis sajde ka sani hi nahi, khanjar ke tale jis jam rakhi, shabbir ne haye zakhme jabi(n), (jibril ne akar di ye sada) x2 manzur khuda ne karli hai (nokri shabbir ki) x4
- ye log jo nawha parhte hai, ye log jo matam karte hai, ye maa behne jo roti hai, zakir jo khitabat karte hai, (darwazaye zehra par inki) x2 ta roze qayamat paki hai (nokri shabbir ki) x4
- shabbir ke jitne nokar hai, sera bejame kausar kai, khud naam aza khano ke jo hai, qismat ke abuzar qambar hai, (is izat ko khud binte ali) x2 qura(n) ki zuba(n) me kehti hai (nokri shabbir ki) x4
- "rehan" kalam bhi nokar hai, kaghaz bhi ghulame sarwar hai, darvesh se badhar lafz me aa, likhta jo azaa ka manzar hai, (kehti hai meri noha goyi) x2 taqdir me teri likhdi hai (nokri shabbir ki) x4
- (Ye sab ko mayasar hoti nahi) x2
(Haya ala khayral amal) x2
SHAHID BALTISTANI : 2005

SHAHID BALTISTANI : 2005
Vichora audio file
VichoraJeene se hamesha gham-e-bezaar thi sughra
Tanhaayi ki afat mei, giriftaar thi sughra
(Ghash rehta tha istarha ke beemar thi sughra) x2
Hosh ata tha karti yahi guftaar thi sughra
(Akbar nahi aaye) x2 haay
(Akbar nahi aaye) x4
- Kaise shab-e-baraat manaawu Kaise mei akbar tumhe bhool jaawu Nana ke roze pe is raat bhaayi tanhaa bhala kaise shamme jalaawu (Mujhko milenga na cheyn) x2 (Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3
- Hai eid ka din bhi aane wala
Veeran ghar mei kahe roke sughra
Pehlungi mei eid pe jora kala
(Karti rahungi ye bayn) x2
(Ay mere baba Hussain) x2 (Akbar nahi aaye) x2 Haay (akbar nahi aaye) x3
("Arshad" thi sughra ke lab par duhaayi) x2
Baba khushi raas mujhko na aayi
Ghazi ko bachpane mei
(Mere beta abbas) x3
Madine me eik raat ummul baneen bete ko lori sunarahi haiAbbas abbas abbas abbas
Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- (Tere bazuo(n) ke hote) x2 Zainab na gham uthaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi Ya rab wo laal de jo zainab ke kaam aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna Jab tak hain saas baaqi bankar gulam rehna Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Mein hu kaneez-e-zehra fizza se phir bhi kam hu Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Ab karbala ka manzar raavi ne yu(n) likha hai Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai Kiski majaal hai jo sheh se nazar milaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- Ghazi ke raaste par nazre hai bibio(n) ki Aur hai dua musalsal zainab ke ye labo(n) ki Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
- "Rehan azmi" jab be dast ho ke ghazi
Madar ki wo nasihat ghazi ko yaad aaye
Abbas abbas abbas abbas
Basta ba zanjeer
(Basta ba zanjeer) x2
Jumla yateema haayAh hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema
- Jaltay huwe ghar lutti ridaye(n) ah hussaina kisko sadaa de kisko bulaye ah hussaina. Haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Eik zanjeer-e-sitam bara aseero kay gale Us pay ye hukm kay har peer-o- jawaan tez chalay Ee sitam haay hussaina Pusht pay partay rahe saath durron kay nishaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Eik beemar aseeron ka jo salaar bana Thaame zanjeer sitam jaanib-e-darbaar chala Ee sitam haay hussaina Roya shabbir ka sar barsare nok-e-sina haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Dhoop say pyar hay saaye se sarokar nahi Koi baanu ki tarha bekaso ghamkhwar nahi Ee sitam haay hussaina Kaisay asgher kay binaa saye main jayengi maan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Umm-e-laila ka jigar hogaya paara paara Us nay dekha hay jawaan lal kay dil main naiza Ee sitam haay hussaina Mu ko ata hay jigar sunti hay jab bhi azaan (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Eik nawshah ki mayat ke bahattar tukre Maadare Qasim-e- muztar ki nazar say guzre Ee sitam haay hussaina Sar kahan jism kahan dil kahan haath kahaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Wo jo lashkar ka alamdar tha dast-e-shabbir Bar lab-e-nehr likhi jis ne wafaa ki tahreer Ee sitam haay hussaina Wo nahi hai to nahi ab meray jism mein jaan haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Kaan zakhmi hai gala khushk jalaa hay daman Saans leyne nahi deti hai sakina ko rasan Ee sitam haay hussaina Neend aati hai usay wo magar soye kaha haay (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Be ridayi ki aziyat ko uthane waale Haay wo ale muhhamad kay gharaane waale Ee sitam haay hussaina Apne is haal pay bhi kar nahi paaye fughaa (Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema) x2
- Nauha "Rehan" aseeron ki zubaan main likh kar
Ay meri jaan hussaina
Farshe majlis pay huwa qalbo jaan nauha kuna
Zuljanah ay zuljanah
Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n)
Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2- Boli khatun-e-jina, yani shabbir ki maa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n) Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
- Lay gaya ghar se ek pyaase ko, Rab ke mehboob ke nawase ko, Chor ker aagaya laeeno me, Gham zada maa ke tu assase ko. Dhund ne jawu(n) use, is andhere me kaha(n), Mera bachaa hai(n) kaha(n) (Zuljana ay zuljana mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
- Jis ne lashe uthaye the din bhar, khune asghar tha jiske chehre par, zakhme akbar ki thi anni dil me, bhayi ki gham me jhuk gayi thi kamar, khaak urhaate hai nabi, hai ali mehve fughaa, mera bacha hai(n) kahaa(n) Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
- raqibe dosh mustafa tha wo, tujhko bachpan se chahata tha wo, saath kyu(n) aaj uska chor diya, jabke mushkil me agaya tha wo, bewafayi ka sabab, kya karu(n) tujhko bayaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n) (Fatema zahra) x4
- tere mathe pe khun hai kiska, rang khu(n) ye tere sawaar ka tha, hai mere shir ki mehek usme, kampta hai alam se dil mera, bol khamosh hai kyu(n), tere asu(n) hai rawaa, mera bacha hai(n) kahaa(n) Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
- jo teri pyaas par udaas raha, ho ke paani ki aaspaas raha, phir bhi paani piyaa nahi usne, teri khatir wo mehwe yaas raha, khushk tha uska ghala, khushk thi uski zabaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n) Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
- kaise soyegi ladli uski, jisko sine pa neend aati thi, jisne roka tha tujhko jaate huwe, kya kahega agar wo puchhegi, samna uska na kar, roke dedegi wo jaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n) Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
- qalb zainab kahee(n) fighar na ho, dilpe ehle haram ke waar na ho, tu jo khayme me jayenga khali, kon hai jo, ke soghwaar na ho, tu jo jaayega wahaa(n), hashr ka honga samaa(n), mera bacha hai(n) kahaa(n) Zuljana ay zuljana (mera bacha hai(n) kaha(n)) x2
- na gawaa sar sina pe aayaa nazar, zikre khaliq tha jiske honto par, thaam kar dil larazte haatho(n) se, boli "rehan", madare sarwar, tujhse ay aspe jhari, ab na puchengi ye maa(n), mera bachha hai kahaa(n),
(Fatema zehra) x4
Meera vad maula, sarwar-e-zehra, aho-wawayla
Karobaar nahi
Hayya ala khayril amal
(Ya hussain) x4Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi
(Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Wo shaks zakir-e-shabbir ho nahi sakta (Dar-e- zahra ka jo fakir ho nahi sakta) x2 Jissay hai zar say muhabbat aza se pyaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Ghame-hussain jo meezan-e-zar main toltay hay (Wo apnay zarf-o-lahoo ki zubaan boltay hain hay) x2 Unhey ata-e-imaamat pay aitebaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Jo zikre ale muhammad main daam rakte hain (Nazar mein kab wo aza-e-imaan rakhtey hain) x2 Wo zakhm detay hain shabbir ko karrar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Jo dekhtay hain muharram ko eid ki surat (Unhey pasand hai goya yazeed ki surat) x2 Unhe imaam ki amad ka intezaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Wo farsh-e-gham ho kay mehfil ali ki midhat ki (Jo baat kartay hain har bazm main siyasat ki) x2 Wo apne naam kay taalib hain pursadaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Wo log kon thay hum jin ko aaj rotay hain (Yeh kis kay tazkeray farsh-e- aza pay rotay hai) x2 Wo log pusht-e- muhammad kay kiya sawaar nahi Gham-e-hussain ibadat hai karobar nahi, Mein azadar hu dolat se muje pyaar nahi, (Gham-e-hussain ibadat hai karobaar nahi) x2
- Gham-e- hussain to darvaish ki ibadat hay
Qarar deta hai karta yeh beqarar nahi
Maa pukare lot aawo
(Haaye Ali Asghar) x8
(Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x3- (Jeena mushkil mera) x2 Ay maa ke dulhaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Tu na jana kya khabar thi gar meri jaan maa hu Bhulna paawungi tujhko zindagi bhar chaahu(n) (Dekhle haal mera) x2 Ay maa ke sahaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Apne haatho(n) se sajaaya, tujhko dulhe ki tarha Meri aahosh hai veera(n), dekh jhule ki tarha (Sunlo madar ki sada) x2 Ay jaan se pyaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Tu gaya jab se hai beta, tere bin jee na saku Hai kasam mujhko meri jaa(n), ab na saaye mei rahu (Maa ko chehra to dikha) x2 Maa sadqa utaare asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Maa ki jageer hai bas kya, haay shaluka tera Teri masoom adaaey, wo machalna tera (teri maa tujhpe fida) x2 Awaaz sunade asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Dekho roti hai Sakina sunke ye gham ka sukhan Khun mei tar mere asghar, ko mila kaisa kafan (Akhri eik diya) x2 Roro ke jalaaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Bole asghar mei hu(n) kamsin, par hu ghazi sa jari Mujhme zahra ki mehek hai, mei bhi hu(n) khoon-e-ali (Teri godi ka sila) x2 Maqtal mei dikhaaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Meri saanso mei meri maa, teri khushbu hai rachi Aur nigaaho mei hai meri, teri mamta hai shabi (Tere pehlu ke bina) x2 Ab cheyn na paaye asghar (Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar) x2
- Tere "Yawar" ki dua hai, mere maula Asghar
(Sunle maao(n) ki dua) x2 Godo ko sajaade asghar
Maa pukare lot aawo, mere pyaare asghar
(Haaye ali asghar) x2
Sine pe sulane ko
(Akhri raat sakina ki) x2
(Haay haay hay) x3(Me khaak pa sojaungi) x2 ha kehti hu(n) baba
(Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba) x2
- Kehti hu(n) ke chehra hi dikhajayiye baba Marne se mere pehle hi aajayiye baba Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Bache to bohot chhote huwa karte hai baba Har aik musibat pe gila karte hai baba Me naaz uthane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Sehlungi jo haathon ki lakiron me likha hai Zindaan ki andheron ka gila kisne kiya hai Me shamme jalane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Haaye baba, baba mere bachpan ka taqaza to nahi tha Khabon me khilone the janaza to nahi tha Ghodi me khilane ko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Baba mere zakhmon ki dawa kon karega Ab jaan sakina ko bhala kon kahega Pehlu me chhupane ko kaha keti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Zindaan ki andheron me sula kyun nahi dete Baba mujhe marne ki dua kyun nahi dete Me lori sunaneko kaha kehti hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Koi bhi nahi aansu mere ponchne wala Sarpe nahi hathon ko koi pherne wala Bahon me chupane ko kaha kehti hun baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Haaye baba, marjawu agar baba tera shaam ho aana Bimar akela hai janaze ko uthana Godi me uthane ko kaha kehtu hu(n) baba Me khaak pa sojaungi, ha kehti hu(n) baba Sine pe sulane ko kaha kehti hu(n) baba
- Arman sakina ki yahi bayn the haaye
Turbat bhi banane ko kaha keti hu(n) baba
Marhaba khairun-nisa
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
Bizate khairal wara ya zahra(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- aisi maan jis pe meri maa qurbaan jis ke qadmo ki dhul arzo samaa jis ke bete shababe ahle jina jiska shohar he qul ka qul imaan baap fakhre ambhiya ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- aisi beti ke baap ki maa he tu to qalbe rasul me jaan hai teri tazim uspe lazim he jispe utra khuda ka quran hai ai kaneeze kibriya ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- jis ne gyara imaam pale hai sehne kaaba ke jo ujaale hai haye chaki ki wo mushaqat thi daste zahra mai ye jo chhale hai deen jis ke ghar pala ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- jo khadija ke qalb ki dharkan khuld se jo mangaye pehrahan tara utra jahaa salami ko do jahan me hai wo tera angan ye hai tera martaba ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- be zaron ko waqare buzar de tashna kaamo ko jame kausar de tu hai kono makan ki shahzadi tu zamin ko bhi aasmaan karde tu agar karde dua ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- tune jis qawm ki dua mangi hai asar sare matami uski khun apna bahaa rahe hai jo chahiye unko teri khushnudi chahiye teri raza ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- dil tera barsare sina bibi girta lamhon me asmaan bibi bad dua tu kaheen jo kardeti khak hojata ye jahaan bibi dub jaati karabala ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- hubbe shabbir me jo qatl huwe un shaheedon ki maghfirat ke liye teri nazre karam zaruri hai tere baba rasul ke sadqe kar rahe hai ilteja ya zahra (Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
- roya "rehan azmi" ka qalam
karb se karbala huwa he dil
khun tapka nigah se peham
(Marhaba khairun nisa ya zahra) x2
Surood-e-Aman
(Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya
(Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3- Suraj sitare aabo hawa, bargo shajar sab teri ataa, ye behte dariya, ye rango bu, (dete he humko tera pata) x2 (Ferda ki bahaar aya, az karama shuma aya) x2 az karama shuma aya (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
- Larka hai jese tera chaman, tune banaye wo panjatan, eik mustafa hai eik murtaza, (shabbir or zahra hai or hassan)x2 (Allah) x4 (la ilaha ilallah) x3 (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
- Hai masjidon me barsaate khun, teri ibadat kaise karun, ye khof mehshat ka raaj hai, tere namazi hai besukoon, ay rab-e-akbar sunle dua, karte hai tujhse hum iltija, zehra ki chadar saya kare (kehta hai tujhse bandaa tera) x2 (Allah) x6 (la ilaha ilallah) x2 (Alaah) x3
- Ik rab hai quran bhi aik hai, ik deen hai imaan bhi aik hai, rehan phir kyun ye tarfiqa, (qalma musalman bhi aik hai) x2
(Allah) x6
(allahu qabla kullu shay', allahu ba'ada kullu shay') x2
allahu akbar
Monday, November 29, 2010
SHAHID BALTISTANI : 2004

SHAHID BALTISTANI : 2004
Almadad maula raza audio file
Almadad maula raza(Al Madad, Maula Raza) x2 (Maula Raza) x3
(Al Madad, Maula Raza) x4
- Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x4
- Tu hai masiha –e- jahaan, shaahe khurasaan hai laqab, yu har farishta roz par, aataa hai tere ba adab, haaN rad nahi hoti tere, roze pe koi bhi dua Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
- Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu, maange agar tujse koi, daanaai bhi deta hai tu, tu bhi to baabe ilm hai, tu bhi to hai mushkil kushaa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
- Hai zaamine aahu bhi tu, gul bhi hai tu khushbu bhi tu, hai ponchta har aankh se, girte huwe aansu bhi tu, teri ataaye dekh kar, dushman ko bhi kehnaa paraa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
- Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar, kehta hai har zaair tera, roze ki jaali chum kar, mash-had muqaddas ho gaya, tune jo aakar di azaan Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
- Tere hi dastar-khaan par, hota hai jannat ka ghumaan, jinno mallak lete hai sab, tere hi dar se rotiyaan, maula tera makruuz hai, har ik gadaao baadshaa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
- Roze se tere duur hai, ham to bohot majbuur hai, aankhon se aansu hai rawaan, dil bhi ghamon se chur hai, tujse kahenge haale dil, izne ziyarat kar ataa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
- Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera, ishke ghame shabbir mei, maare gaye jo bekhata, hai munison yawar tu bhi, ibne shahide karbala Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2
- "Rehan" mujko hai yaqin, maula raza ki zaat se, ye nokri shabbir ki, jaaegi ab na haath se, nauhe likhunga mei sada, dete rahenge wo silaa
Haaye sakina
- Haae sakina, qaid hokar, shaam ke zindaan mei, jab aayi Woh bachi, us andhere, ghar ki taariki se ghabraayi Zamin to farsh thi saaya faghan tha, charkh neel aayi Muqaddar mei musibat ki ye pehli raat dikhlaayi
- Phuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thi Haae phuphi ke paas rehti thi, naa maa ke paas soti thi Haae barehnaa sar khari zindaan ke darwaaze pe roti thi
- Udhar se, jo guzar ta tha use kehti thi sultaan jaa Mei bekas qaid mei baithi hun ik paigaam hai mera Agar baba mile tujko to tu kehnaa qasam khaata Sakina par musibat hai khabar lo ai shahe waala
- Agar tujse kahen khaimon mei sota chor aaya hun
Sakina
Abbas jaa rahe hai
(Haae Abbas) x6
Bache tarap rahe hai, Abbas jaa rahay hain, Har bibi ro rahi hai, Abbas jaa rahay hain, Apne rida ko zainab, haaye hasrat se dekhti hai(Abbas ja rahay hain) x4
- Sukhe huwe labon par, bachon zaban na phero, (mashko alam ko dekho) x2 kuch deyr mei yahaan tak, khud nehr aa rahi hai, abbas jaa rahe hai (Abbas ja rahay hain) x4
- Kyun mashk tumne dedi, ghazi ko shahzaadi, (ay ranjo gham ki aadi) x2 khush kyun hai ai sakina, kuch der ki khushi hai, abbas jaa rahe hai (Abbas ja rahay hain) x4
- Jukne lagi qamar hai, abbas ka safar hai (sheh marna jaae dar hai) x2 aafat ghamon alam ki, sarwar pe ghir pari hai, abbas jaa rahe hai (Abbas ja rahay hain) x4
- Ik shore al-atash hai, phailaa huwa fazaa mei, (masroof hai dua mei) x2 kyaa sog karbalaa mei, ummeed aakhri hai, abbas jaa rahe hai (Abbas ja rahay hain) x4
- Khaimon mei shore matam, hone laga hai paiham, (har aankh hogayi nam) x2 shaame gharibaan daaman, phailaati jaa rahi hai, abbas jaa rahe hai (Abbas ja rahay hain) x4
- Zainab ke baazuuon ko, chuma tha jab ali ne, (lamhaat-e-zindagi mei) x2 baazu bandhenge mere, zainab samaj gayi hai, abbas jaa rahe hai (Abbas ja rahay hain) x4
- "Rehan Azmi" wo, manzar na likh sakunga, (bas itna keh sakungaa) x2 kehte the shaahe maula, kam meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai
Muntazar beythi
(Ai mere babajaan) x2
Baba ko dhund kar roti hai sughra, (shamme jalaati hai) x2(Shamme jalaaye) x4
(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- (Shaam hote hi jisse) x2 daste hai saaye baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Tere haathon ke nawaalon mei shifa paati thi, tere kaandhe pe rakhu sar to sukoon paati thi, (chor kar aise gaye) x2 kuch nahi bhaaye baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Maine khwaabon mei faqat ranjo alam dekhe hai, larkharaate huwe reyti par kadam dekhe hai, (jaane kya khwaab mujhe) x2 raaz bataaye baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Eid guzri hai meri kaisi bataaun kaise, door hun tujse bhala khushiyan manaun kaise, (peyrehen haae siyaha) x2 maine banaye baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Mere baba jo madine ko kabhi aawoge, saath chalte huwe in sabke mujhe paaoge, (aansuonse jo diye) x2 maine jalaaye baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Tere hujre mei teri khushbu nahi paati hun, dhund ne nana ke roze par chali jaati hun, (tere hone ka yaqin) x2 sughra na paae baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Mei jawaani mei zaifi ki taraf jaati hun, chaand ki chaandni baalon mei haaye paati hun, (aisa lagta hai ke din) x2 marne ke aaye baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Kyun chupaaya meri dadi ne ayaa hota hai, surkh mitti se yatimi ka ghumaa hota hai, (dadi Salma se kaho) x2 ab na chupaaye baba (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2
- Ik kone mei hai sehre ki lari ukhri huwi, aur roze pe hai nana ke shamma bujti huwi, (saare "armaan" jale) x2 tum nahi aaye baba
Aa mere hussain
(Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain) x2
- (Aa jaa mere dil ke chain) x2 Aa jaa mere hussein Ghurbat se maa ke the bain, Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain
- Tera janaza maqtal mei tanha, mei rorahi hun ghurbat mei tanhaa, tune uthaaye laashon hai pe laashe, kaise rahe maa hai (mushkil mei beta) x2 maa hun mera baa hussein, Aa jaa mere hussein Ghurbat se maa ke the bain, Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain
- Chalta tha meri ungli ko thaame, karti thi tujpar maa chalke saaye, tu dhoop mei rehgaya suw-e-maqtal, aajaa tujhe maa (kafan mei chupaaye) x2 mehsuus kar maa ke bayn, Aa jaa mere hussein Ghurbat se maa ke the bain, Aa jaa mere hussein, ghurbat se maa ke the bain
- Tere gale par chalaa hai jo khanjar, aakar lagaa hai teri maa ke dilpar, ye soch kar mera dil jal raha hai, neze pe jaaega (beta tera sar) x2 pareshan kiye maa ne bayn, Aa jaa mere hussein
Bekas pardesi
Shaam jaate huwe, roke sajjad ne kahaa, Assalaam ai bekas baba, bekas bete ka salaam
(Assalaamun alayk, ya gharib huseina) x3(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x3
- (Mei saath phuphi ke ai baba) x2 Qur'aan sunaaunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Ho tumpe salaam mera, ai mere gharib padar, ik qaafela tha tera, ik mei bhi chala lekar (mei ibne hussein hun ay baba) x2 zaalim ko bataaunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Teri pyaari sakina bhi, mere saath safar mei hai, har gaam pe shahzaadi, bhai ki nazar mei hai, (mei dhuup mei reh kar ai baba) x2 use saaye mei laaunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Zainab ko bin chaadar, jab dekh na paaoge, haae noke sina se phir, quraan sunaaoge, (aawaaz mei teri ai baba) x2 aawaaz milaaunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Ik rassi mei baba, haay baara gale honge, sab chote bare baba, ik saath bandhe honge, (mehmil se girte bachon ko) x2 sine se lagaaunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Ham qaidi bane honge, darbaar sajaa hoga, haae tasht kalaa mei aur, sar tera rakha hoga, (us pal mei sakina ko baba) x2 kis tarha sambhaalunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Maangega sakina ko, ik shaami kanizi mei, marjaaunga mei baba, sunkar ye aseeri mei, (zahra ki shabi ko ay baba) x2 zaalim se bachaaunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Teri yaad mei roro kar, zindaa na basaayengi, phir mout sakina ki, ham sab ko rulaaegi, (mei us ki lahad bhi ay baba) x2 haathon se banaaunga (Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2
- Paaband-e-rasan yaawar, ye qaafela jab nikla, bimaar imaam mera, karta raha ye nauha, (hai teri qasam mujko baba) x2 tera naam bachaaunga
Namaaz-e-shab
Shab ki taariki mei, namaaz-e-shab ke baad, mera mazloom imaam, dua maang rahaa hai, mere maula tujhe waasta, is gharib ke, ashkon ka, sukuune dil ke liye kar, mujhe sakina ata
(Allah, Allah, Allah, Allah) x2Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
Allah, Allah, Allah, Allah, Namaz-e-Shab mei koi baap maangta hai dua
- (Sukuune dil ke liye kar) x2, mujhe sakina ata Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Diya hai sabr to mujko, karaar bhi dede, mehek batul ki haider, ka pyaar bhi dede, mei baagh baagh rahun who, mujhe kahen baba Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Who mere sine pe soye, to dharkane khush ho, chale who ungli pakar kar, to aahaate khush ho, who maang paani to haathon ko mei karun kuza Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Ibadaton ka silaa tujse maangtaa hun mei, yehi to eik dua tujse maangta hun mei, charaagh-e-khaimaa bhujaawun, to who ho misle diya Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Sunaa hai beti janaaze ki hoti hai ronak, mujhe bhi chaahiye quraane, zindagi ka waraq, mile janaaze ki rounak, baraaye karbobala Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Khuda ne sunli duaae, hussein ibne ali, mili who beti jo bilkul, shabihe zahra thi, sukuun mil gaya sheh ko, sakina naam rakha Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Magar sukuun ye karbobala mei jaata rahaa, huwi yateem sakina bandha rasan me gala, hussein rote the ye kehte barsare neza Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Pase hussein sakina ne who sitam dekhe, tarap ke kehti thi bachi, padar ke laashe se, chupaalo khun bhare daaman mei mujko ai baba Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- Sare hussein se aayi sadaa sare maidaan, namaaz-e-shab ki dua ka asar sakina jaan, karenga teri hifazat wo naam hai jiska Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua
- "Rehan azmi" kehti thi karbala ki fazaa, hai baap beti ka ye imtehaan kaisa khuda, har eik zulm pe dono ke lab pe hai ye sada
Akbar-e-man audio file
Akbar-e-man(Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Ay mere raahate jaa naujawaan, Akbare maa, tujpe qurbaan ye maa naujawaan, Akbare maa, jawaan (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Saal atharwaa kya banke qayamat aaya, chand se sine pe pardes mei neza khaya, hai kahaan zakhme sinaa, bol kuch to meri jaan (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Baap ki aankhon se binaai meri aas gayi, tujko kausar ki taraf leke teri pyaas gayi, meri tarapti hun yahaan, ay meri raahate jaan (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Waada sughra se kiya tha jo chale the garse, lout aaunga bohot jald mei tujse milne, dhund ti hai who behen, tere kadmon ke nishaan (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Tumko athara baras naazon se jisne paala, who phuphi beton se bharkar tumhe jisne chaha, kehti hai laut ke aa, ho gaya waqte azaan (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Khaake sine pe sina sota hai tu lakhte jigar, tere bin zindaa na rehpaaegi teri madar, uske haathon mei rasan, jiska ho laal jawaan (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Aagayi gyara moharam hai safar zindaan ka, he pase-pusht bandhe haath nahi sarpe rida, kya gawaara hai tujhe, thokare khaye ye maa (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Touk karta hai fughaan karti hai matam zanjeer, ashk khun rote hai neze pe janabe shabbir, paaye Sajjad ke hai, aable nauha kunaa (Akbar-e-man nawjawaan) x5 Akbare maa
- Maa ke armaan tere saath hi soye ban mei, tune sine pe sina khaayi kuch aise ran mei, roya "Rehan" kalam, likh ke laila ka bayaan
Ya Sayyeda
(Haae Zaeefa fatema) x2
Rokar pukaari, apne baba se, hasnain ki, zaeefa maasubbat alayya, masaibun, lau annahaa, subbat alal ayyaami, sirna, layaaliyaa
(Sayyada, Fatema, Tahera, Sayyada) x4
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2
- (Ay Atharaa baras ki paak, zaeefa bibi) x2 zindagi hai teri masaa'ib ka sahifa bibi (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
- Is saari qaaenaat mei, zahra hi aisi maa hai, saaya fighan usi pe, zakhmon ka aasmaan hai, tori gayi hai zulm se, bibi ki pasliyaan, rukhsaar pe tamache ka, bibi pe ek nishaan hai (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
- Dunya se jo ye baat hi, kehti chali gayi hai, baba sitam ki mujpe, wo intehaa huwi hai, parhte jo din pe raat sa, tareek hota din, talwaar-e-gham kaleje par, baba mere chali hai (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
- Who ghar jahaan pe mout bhi, ijazat talab huwi hai, us dar ko aag aap ki, ummat lagaa rahi hai, mohsin shaheed hogaya, baba sitam huwa, baba tumhaari fatema, chakra ke gir pari hai (Haye zaeefa fatema) x2
- Baad-e-Wisal-e-zahra bhi, gham ka safar raha hai, uski misaal shaam hai, kufa hai karbala hai, zahra ke bete betiyaan, khun mei nahaa gaye, neze pe koi sar koi, sar beridaa huwa hai (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
- Ye maa jab apne laal ke, laashe pe aayi thi, aankhon se ashk laab pe, bas yeh duhaai thi, kehti thi mere laal ay, mere tishnalab hussein, tu hi to mujh gharib ki, saari kamaayi thi (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
- Is maa ne saath shaam ka, pedal safar kiya hai, zainab ko raahe shaam mei, wo honslaa diya hai, rokar pukaari saath hai, zainab ye teri maa, tu beridaa nahi hai ye, zahra ka sar khula hai (Ya Sayyada, ya sayyada) x2
- Darbaar-e-shaam mei gayi, zainab jo beridaa thi, beti ke saath rote, wohi amma sayyada thi, kehti thi teri aur meri, taqdeer ek hai, tujh par ghamon ki had huwi, mujh par bhi intiha thi (Haye zaeefa fatema) x4
- "Rehan azmi" ye, hasnain ki jo maa hai, maqtal mei karbala ke, karti huwi fughaan hai, bikhre hai baal dard se, chehraa nidhaal hai, gham se zaeef hogayi, aankhon se khun rawaan hai
SHAHID BALTISTANI : 2003

SHAHID BALTISTANI : 2003
Ya zahra
(Fatema Zahra) x4
......
(Ya zahra) x6
- Ay meri bibi tere dar pe istighaasa hai tera mamnoon,
- meri shehzaadi ye jahaa(n) sara hai (Ya zahra) x4
- Tere baba ki jo wasiyyat hai Uspe ummat ko kyu(n) shikayat hai Aur tehreer jo huwi tukre Wo ibaraat, teri muhabbat hai (Ya zahra) x4
- Ay meri bibi Khatm tumpe hi ibadat hai Mere sajdo(n) ko teri ulfat ka hi sahara hai (Ya zahra) x4
- Tere bacho(n) se jisko pyaar nahi Wo tere gham ka talabgaar nahi Kheyl samjhe na wo tere gham ko Ye ibadat hai karobaar nahi (Ya zahra) x4
- Ay meri bibi Ye khulus hai darvaisho(n) ka Jinki tasbeeh, tere bacho(n) ka gham manana hai (Ya zahra) x4
- Waqt-e-akhir hai bas mera bibi Anginat hai, mere gunaah bibi Waasta tujhko tere bacho(n) ka Bakhshwana mere gunaah bibi (Ya zahra) x4
- Ay meri bibi
Lab pe ye, dua hamari hai
Arsh mei bhi, bapa ho matam ye dil pukara hai
(Ya zahra) x4
Haaye mei ujjar gayi
Saamne behn ki ankho ke, gardan pe khanjar chalaaya, ik mazloom pyaase par, zalim ko tars na aaya
(Ha mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haye mei ujjar gayi) x2 Ha mera ujjar gaya garbaar
- (Chali dil pe mere talwaar) x2 Ab mawt ke hai aasaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Nana teri ummat ne mere jeene ke sahare cheen liye, is karbobala ke jangal mei, ankho ke sitare cheen liye (Mei bekas mei lachaar) x2 Sab kunbe ki ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Darya ke kanaare jalta huwa, ghar aaj talak dekha ke suni, quran-e-sar-e-neza nana, parhta huwa sar dekha ke suni (kiya bayyat se inkaar) x2 Bhaayi pe chali talwaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Wo shaam-e-gharibaan ka manzar, Bimar ka sholo mei bistar, wo behta huwa kaano(n) se lahu, wo neel Sakina ke rukh par (kaano se lahu ki dhaar) x2 Jab zakhmi the rukhsaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Ik sheyr taraayi mei soya, jo aas tha pyaase bacho(n) ki, wo mashk bachaane ki khatir, kurbaani degaya haatho(n) ki (parde ka zimmedaar) x2 Mara gaya aakhir kaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Wo zulm bhi dekhe hai mene, jo din ko raat banaa dete, Mei ro na saki aansu mere, paani mei aag laga dete (bhaayi ka tha ye israar) x2 bas sabr meri ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Shaano(n) pe nishaa(n) hai rassi ke, sogaat safar ye laayi hu, hai dil mei daag-e-bahatar ke, ay nana mei dukh paayi hu (thi sang ki wo bosaar) x2 rota tha alam bardaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Wo ibn-e-hassan pamal-e-badan, dulha jo bana ik shab ke liye, maqtal ki zamee(n) par uska badan, ghoro(n) ne kiya tukre tukre (sine pe zakhm hazaar) x2 ik sar ke tukre chaar, haaye mei ujjar gayi nana Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Zainab ki sada har majlis mei, noho(n) ki zubaani aati hai, bibi ki sada dohraata hai, jisse nawha khaani aati hai ("Rehan" mere ash’aar) x2 dil-e-zainab ki hai pukaar, haaye mei ujjar gayi nana
(Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar) x2
Abid ki kahani
(Haaye beemaar) x4
(Haaye beemaar) x2
(Haaye beemaar) x4
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Payro(n) mei aable hai, aankho se ansuo(n) ke, hoti hai rawaani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Is baat ka nahi gham, bazaar behaya hai Ummat ki berukhi hai, ummat ke hi gila hai Zainab bhi berida hai, badli hai zaeefi mei, abid ki jawaani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Qari namaazi hafiz, haji khare huwe the Bazaaro(n) mei musalmaa(n), sare bhare huwe the Zainab ki pusht par hi, beemaar-e-sarebaa(n) ki, guzri hai jawaani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Sadat ke liye hi, raaho(n) mei mushkile hai Qaure hai aur kaanthe, pathro(n) ki barishe hai Khayme jo karbala mei, jalte rahe the ya rab, barsa nahi pani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Jab karbala ko aye, suta watan madina Chora jo karbala ko, tanha huwi sakina Sarwar ki shaahzadi, kaise sahengi ya rab, zinda(n) ki weerani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Sajjad ko imamat, deti hai shaam-e-gurbat Mazloom sayyedo(n) se, kehti hai shaam-e-gurbat Purse mei de rahi hu(n), beemar ko aseeri, karbal ko kahani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Na mahramo mei zainab, be parda jab khari thi Ummat ki teri nana, ghayrat kaha(n) gayi thi Majma laga huwa tha, Zainab jo parh rahi thi, ayaat-e-qurani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Saaya hata hi tha ke, Abbas ke bharam ka Aaghaz hogaya tha, sadat pe sitam ka Deti rahi dilasa, pardes mei Zainab ko, Ghazi ki nishaani (Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Sajjad jis tarha se, ankho(n) se khun roya
"Arman" wo kalam se, kaise bayaan honga
Bedaar hogaye ham, matam bata raha hai, Noho(n) ki zubaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Jaan Sakina
(Bethi ho andhere mei kahaa(n) Jaan sakina) x2 Jaan sakina
- Baba ke tere lut gaye Armaan Sakina Bethi ho andhere mei kahaa(n) (Jaan sakina) x2
- (Daman mei lagi aag kob, kon bujhaaye) x2 Khaso(n) koi is dasht mei, insaan Sakina Bethi ho andhere mei kahaa(n) (Jaan sakina) x2
- (Hafiz hai ye qur’an ke aur parhte hai kalma) x2 Yasin ki inso(n) ka pehchaan Sakina
Bethi ho andhere mei kahaa(n) (Jaan sakina) x2
(Aajaayie baba) x4
(Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo) x2
- Wasta tujhko hai khuda ka, mujhe yu na sataawo Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Teri khushbu tera chehra saath hai mere, kul yahi jageer hai rab kya paas hai mere, aayiye baba, aayiey baba Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Phool se rukhsaar pe mere neel nishaan hai, khun kano se aur ankho se ashk rawaa(n) hai, aayiye baba, aayiey baba Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Us gari dadi Zehra ki yaad bhi ayi, Baba mei darbar mei roti huwi jab aayi, aayiye baba, aayiey baba Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Dhundne baba tujhko ayi maqtal mei, har taraf fugha(n) tha sawaa khuni jangal mei, aayiye baba, aayiey baba Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Hai labo pe mere baba nad-e-ali hi, rasta dushwaar hai par beti hu teri hi, aayiye baba, aayiey baba Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Itni ulfat itni chahat dekhi nahi thi, gunjti zindaan se "Yawar" eik sadaa thi, aayiye baba, aayiey baba
Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
Akhri lori
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Ay khuda ta’ala na mujhko, aazmaana maa hu(n) mei (Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Nanne naane haath aur pyaase labo(n) ko chum kar
Mei kaha karti thi asghar, ab agar jaaungi ghar
Mei parhungi teri surat, tu kare quraa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Putliya(n) ankho(n) ki meri, tujhse lay kar roshni
Itni roshan hogayi ke, bheek mange chandni
Ay mere mahtaab aja, muztar-o-girya(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Akhri shab hai sahar is, shab ki kya dikhlaaye rang
hay munajate khuda ya(n), us taraf tayyar jang
Tu larenga kis tarha, ada say yun hayraa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Nusrat-e-shabbir to karna hai tumko bhi magar
Muskurahat tere lab par, aur udhar teer-o-tabar
Tujhpe ay nanne mujahid, isliye qurbaan hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Sari maae(n) apni qurbaani karengi pesh kal
Chaahti hu tu idhar maydaan mei aise nikal
takay mei bhi keh saku ik askari ki maa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Dhyaan bas itna rahe, Behr-e-weera(n) jaate huwe
Ik qatre paani peeleena jo qismat se mile
ek teri Tashna dahani, say bohot bejaa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Maa(n) dua karti rahi "Rehan" jhule ke qaree(n)
laaj rukhio Madar-e-asghar ki rabbul alameen
Meri qurbani hai asghar, be sar-o-samaa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Guftagu madar ki sunkar, bezubaa(n) kehne laga, kaisay so jaon main, kay sona hai zameen-e-garm par, mei to sojaaunga, khakar teer kal maydaan mei, haa(n) magar tum so nahi paaogi amma, Umr bhar
Baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x4
- Ay dast-e-karbala baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Rota hai kisliye zakhmi huwa hai kyu) x2 Chehre pe ye tere kiska laga hai khu(n), kuch to mujhe bata, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Baghe kati huwi, aur zeen hai ghiri) x2 Darbar-e-jism mei, kyu hai gari huwi, tanha to agaya, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Ay asp-e-bawafa, ye hai teri wafa) x2 teri sawar jo, tu khoke agaya, Nazre mila bata, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Mei dekhti rehgayi jaldi na kar abhi) x2 Maqtal me tu na jaa, har simt ho shaki, mana na tu kaha, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Mei kaise sowungi, har waqt rowungi) x2 maqtal mei me-o-me, maqtal mei jawungi, tu raasta bata, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Akar watan se door, ye bewafaai ki) x2 Azan-e-bawagar de azmaai ki, tu dekhta raha, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Baba ki khun ki bu, mehsus hoti hai) x2 Jaldi bata mujhe, ab jaan jati hai, tu hontsi liya, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Kaise sahu ye gham, gutne laga hai dam) x2 baba wagair kyu, utthe tere qadam, mera na dil dukha, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Ye kehke rodiya, rahwaar-e-shah-e-deen) x2 Rakha sakina ke qadmo(n) pe wo jabeen, bibi na kar gila, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Mei bawafa nahi, ehl-e-jafaa nahi) x2 mei kya jiyunga jab, aaqa mera nahi, bibi na do sada, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- ("Rehan azmi" wo asp-e-bawafa) x2 bad-e-hussain phir, dekha nahi gaya, khud karbala mei kya, baba-e-man kuja (Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- Ay dasht-e-karbala, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
Ay dasht-e-karbala, baba-e-man kuja, ay asp-e-bawafa, baba-e-man kuja
Bechayn hai Zainab
(Bechayn hai Zainab aaja) x2 Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- (Pardes ki is ghurbat mei) x2 Ham jaaye kahaa(n) batlaaja Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Athara baras paala tujhko (tu ghar se gaya na bahir) x2 (Dil dub gaya hai beta) x2 Ghar lot ke ab to aaja Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Hai waasta tere baba ka (haathon ke mere nawaalon ka) x2 (Marne ki ummar thi teri) x2 Ik baar mujhe samja ja Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Lagta hai watan na jaawungi (gut gut ke marjaawungi) x2 (Jeenay ki karungi tamanna) x2 Ik baar tu wapas aaja Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Zanjeer mei jakra hai kunba (Sar neze par hai tera) x2 (Aankho(n) se lahu barsaawu(n)) x2 Mei kab tak ye batlaaja Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Teri yaadei(n) hai aur Zainab hai (Hamshakl-e-payambar Akbar) x2 (Du dil ko tasalli kaise) x2 Ye baat zara batlaaja Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- "Rehan" fughaa(n) thi Zainab ki (Ye shaam ke bazaaro(n) mei) x2 (Dukhyaari phuphi kehti hai) x2 Akbar mere Akbar aaja
Bechayn hai Zainab aaja, (Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja) x2 (Bechayn hai Zainab aaja) x3
Bismillah-hir-rahmanir-raheem. Innama yureedullahu li yuzhib ankumur rijs ahlalbayti wa yu tahhirakum tatheera
(Allah allah allah) x4Allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai', allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai'
(Allah allah allah) x2 (Ya zainab-e-kubra) x6
- Ay bibi baniye azaa, peghaam karbala tera, jisne suna yahi kaha (Ya zainab-e-kubra) x4
- Tegh khutbo ki barsare darbaar, jaise chalti ho haideri talwaar, kat ke ghirte the zalimo ke jigar, jang-e-khaiber thi ya teri lalkaar (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, quran ki thi ye sadaa (Ya zainab-e-kubra) x4
- Yaad ata hai shaam ka manzar, bibi sarpe tere na thi chadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, sadma tha ye bohot baraa, roya sare shahe hudaa (Ya zainab-e-kubra) x4
- Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ankhe ka paani (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, ye zabta hosla tera, neze pe ser pukaarta (Ya zainab-e-kubra) x4
- Tere dar par ye istighasa hai, jo bhi farshe aza pe rota hai, us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, hum momino ki ye dua, ashke azaa ka waastaa (Ya zainab-e-kubra) x4
- Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, bibi tu to sakhi ki beti hai, tu to muflis ko baadshaah kar de (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa (Ya zainab-e-kubra) x4
- Qaid be jurma jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, unko azaadiyo ko tohfa de, aaj tu misle haidare karrar (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, hum ko hai tera aasraa, ghairo se mangna hai kya (Ya zainab-e-kubra) x4
- Tere bhayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera (Ya zainab-e-kubra) x4
- Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa (Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, har sabeel par likha, kehta hai khun bhayi ka (Ya zainab-e-kubra) x4
- Ay bibi baniye azaa, humse na haq adaa huwa, karde muafye khata
courtesy Nawhas.com
-Sipah-e-Mahdi(a.t.f.s.)
Subscribe to:
Posts (Atom)